Bekhud kiye dete hain
Maine masoom baharon mein tumhein dekha hai
Maine purnoor sitaron mein tumhein dekha hai
Mere mehboob teri parda nasheeni ki kasam
Maine ashqon ki kataron mein tumhein dekha hai
Jod lagte gaye fasane mein
Raaz khulte gaye chhupane mein
Roothne ka sabab to tum jaano
Hum to masroof hain manane mein
Tune tinke samajh ke phoonk diya
Meri duniya thi aashiyane mein
Mujhe shikwa nahi barbaad rakh barbaad rehne de
Magar lillah mere dil mein apni yaad rehne de
Bekhud kiye dete hain andaz hijabana
Aa dil mein tujhe rakh lun ae jalwa e janana
Kya meri baat ka yakin nahin
Koi bhi aap sa hasin nahin
Be jhijhak dil mein tum chale aao
Is makan mein koi makeen nahin
Ae sarwe nazreen man az man che deedayi
Ik baar keh de az man e miskeen mureedayi
Tujhsa hasin nahin nahi teri misaal hai
Tere jamaal ain khuda ka jamaal hai
Kyun aankh milayi thi kyun aag lagayi thi
Ab rukh ko chhupa baithe kar ke mujhe deewana
Maine ke be amal hun
Lekin hun toh aap ka
Ab rukh na chhupana
Karke mujhe deewana
Jis ja nazar aate ho sajde wahin karta hoon
Isse nahin kuch matlab kaaba ho ya butkhana
Maanun ki hakikat ho tak mere janaze ki
Tu shamma bane saaki main ban jaun parwana
Jee chahta hai tohfe mein de dun unhein do aankhein
Darshan ka to darshan ho nazrane ka nazrana
jai gouss pak sarkar
ReplyDeleteABDUL QADIR JILANI
ReplyDelete