botal khuli hai raqs mein jaam e sharaab hai

raat hai mahtaab hai saaki
saara mausam sharaab hai saaki
baaz lamhaat aise hote hain
jin mein pina sawaab hai saaki

botal khuli hai raqs mein jaam e sharaab hai
woh to khaaliq hai banda parwar hai
saari duniya ka rabb e akbar hai
mera sarmaaya e hayaat na pooch
ek saaki hai ek saagir hai

chashm e saaki se talab karke gulaabi dore
dil ke zakhmon ko kahin baith ke see leta hoon
saagar e mai toh badi cheez hai ik neymat hai
ashq bhi ankh mein bhar aayein toh pee leta hoon

botal khuli hai raqs mein jaam e sharaab hai
aye maikashon tumhari dua kaamyaab hai

aise haseen waqt mein peena sawaab hai
saaki hai chandni hai chaman hai shabaab hai

taskeen ke samaan toh mil jaate hain
kuch sahib e imaan toh mil jaate hain
saaki yeh dua hai tera iqbal buland
maikade mein insaan toh mil jaate hain

honton se lagaata hoon toh muskati hai
taskeen har andaaz se pahunchati hai
mai isliye hai mujhko haseenon se azeez
aasaani se sheeshe mein utar jaati hai

charagh dil ka jalao bahut udaas hai raat
khushi ka jashn manao bahut udaas hai raat
usar ghamon ka na pad jaaye maikashi pe meri
pilao aur pilao bahut udaas hai raat

meri nazar ko junoon ka payaam de saaki
meri hayaat ko laafani shaam de saaki
yeh roz roz ka peene mujhe pasand nahi
kabhi na hosh mein aaun wo jaam de saaki

ik zara hosh mein aa lun toh koi baat karun
dil ki dhadkan ko sambhaalun to koi baat karun
saakiya baat bhi karne ki abhi taab nahi
jaam honton se lagalun to koi baat karun

lehra ke jhoom jhoom ke laa muskura ke laa
phoolon ke ras mein chaand ki kirne mila ke laa
kehte hain umr e rafta kabhi laut ti nahi
jaa maikade se meri jawaani utha ke laa

har gham ko dilavez diya deta hoon
ehsaas ki loh tez kiye deta hoon
tu zulf ko kuch aur pareeshan kar de
main jaam ko labrez kiye deta hoon

kyun maikade main shaikh jee bante ho paarsaz
nazrein bata rahi hainke niyat kharaab hai

jisse kiya tha pyar us hi ne diye hain gham
sach poochiye toh dil ka lagaana azaab hai

pehlu main hai raqeeb tumhare khuda ki shaan
kaanta bhi hai wahin pe jahan pe gulab hai

kehte hain jaam bhar ke woh kaisi ada ke saath
peelo hamaare haath se peena sabaab hai

saagir hai mai hai daur hai
agar e bahaar hai pee lo

aye zaahid aa sharaab pee le na kar tu kuch ijtanaab pee le
main teri maanun namaaz padh lun tu meri maan sharaab pee le

adam pee le khud ko maan pee le
badi kaafir ghata chchayi hui hai

maine mana janaab peeta hoon
bakhuda behissab peeta hoon
log logon ka khoon peete hain
main toh phir bhi sharaab peeta hoon
zindagi ka azaab peeta hoon
bann ke khana kharaab peeta hoon
roz e mehshar hisaab ho na sake
iss liye behisaab peeta hoon

le ke saagir mein aaftaab piyein
ye samajh kar ke sawaab piyein
kufr hai neymaton ka thukraana
shaikh jee aao sharaab peeyein

zaahid mujhe jannat ka talabgaar na kar
jo bas mein tere nahi woh iqraar na kar
do rindiyon masti nahi tera masliq
saaki ke tabarruk se toh inkaar na kar

chaake dile sad paara ko see lo see lo
kuch der toh bekhudi mein jee lo jee lo
kyun hazrat e zaahid hai ta-ammul itna
arre maikhaane ki khairaat hai pee lo pee lo

jis tarah aayegi bakhshish
josh aayega kaise khuda ko
uski rehmat pe karke bharosa
kufr hai iss gunah ka naa karna

rooh daad e hijr chehre pe tehreer hai fana
padh lijiye khuli hui dil ki kitaab hai

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil