chalo dayarein nabi ki janib

bigri hui banti hai har baat madine mein
ghamkhaar muhammad ki hai zaat madine mein

chalo dayarein nabi ki janib durood lab pe saja sajaakar
bahar lootenge hum karam ki dilon ko daaman bana banaakar

do jahaan ka bharam madine mein
hai karam hi karam madine mein
sar ke sajde to sue kaaba hain
hai dilon ka haram madine mein

khatam hote hain ek hi pal mein
saare dard o alam madine mein
haar ashqon phool zakhmon ke
leke jayenge ham madine mein

sab jahaanon ki likhte hain kismat
shahe e lauh o kalam madine mein
meri sayim yahi tamanna hai
bas nikal jaye dam madine mein

kaif o tadap ko aur badhate chale chalo
dil mein chirag e ishq ko jalate chale chalo
jaate ho bheekh lee dar e tajdar par
soorat misailon ki banate chale chalo
us tajdar e husn ki tazeem ke liye
aankhon ko farsh e raah banate chale chalo

na unke jaisa sakhi hai koi na unke jaisa ghani hai koi
wo benawaon ko har jagah se nawaazte hain bula bulaakar

main wo bikhari hoon jiski jholi mein koi husn e amal nahi hai
magar wo ehsaan kar rahe hain khataein meri chchupa chchupaakar

hai unko ummat se pyar kitna karam hai rehmat shumaar kitna
hamare jurmon ko dho rahe hain huzoor aansu baha bahaakar

yehi asaas e amal hai meri issi se bigri bani hai meri
samet ta hoon karam khuda ka nabi ki naatein suna sunaakar

agar mukaddar mein ya wareeqi agar madine gaya main khalid
kadam kadam pe hazaaaron sajde karunga sar ko jhuka jhukaakar

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha