dil tadapne lage hosh udne lage

lazzat e intezaar leta hoon yun shabe gham guzaar leta hoon
jab bhi das ti hai mujh ko tanhayi naam tera pukaar leta hoon

yun ti kehne ko husn e kaafir ki har ada dil nasheen hoti hai
unke pehlu mein dil nahi hota jinki soorat haseen hoti hai

apne gham ko na mujhse chcheen aye dost meri duniya udaas rehne de
aur iska kahan thikaana hai isko mere hi pass rehne de

kabhi kabhi toh vo is tarah yaad aate hain
phir iske baad har shai koo bhool jaate hain

nigah e naaz bhi kya cheez hai khuda ki kasam
nazar ke saath zamaane badalte jaate hain

dil tadapne lage hosh udne lage tu jo mehfil mein aye mehjabeen aa gaya
main qayamat ka pehle to kaayil na tha tumko dekha to mujhko yakeen aa gaya

maine chaaha na ho fash raaz e wafa kya karun main mera bas na kuch chal saka
mere ashqon ne mera bharam dho diya tazkara aapka jab kahin aa gaya

waada karke shab e wasl aaye na tum maine mana ke majboor the tum magar
jhoothi kasamein uthaane se kya faayda keh diya maine mujhko yakeen aa gaya

Comments

  1. Can u please a link to this, I'm unable to find it on the Internet.

    ReplyDelete
    Replies
    1. https://www.youtube.com/watch?v=ZbcYEgph0kk

      Delete
  2. Tazkara Aapka Jab Kaheen Aa Gaya.

    ReplyDelete
  3. kyun jo mehfil mein aye mehjaabenn aa gaya

    Hai ki tu jo mehfil mein aye mejaaben aa gaya

    Plz solve

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil