tanveer e jamaal e khwaja kutab

shohra jahan mein aam hai baba fareed ka
har lab pe aaj naam hai baba fareed ka
sabir bana koi mehboob bann gaya
kya faiz e lutf o aam hai baba fareed ka

tanveer e jamaal e khwaja kutab
dukhiyon ke sahaare ganj e shakar
ham par bhi karam ki ek nazar
ham bhi hain tumhaare ganj e shakar

jo bhi dar par saayil aate
mann ki muraadein sab hain paate
ham bhi aapke hain kehlaate
ham par bhi baba ek nazar

har ek sawaali ko dar se
khairaat karam ki milti hai
tukdon pe tumhare hote hain
mangton ke guzaare ganj e shakar

chaukhat pe ghulami karne ko
aaye hain nizamuddin sabir
waliyon ne guzaare hain sajde
kadmon mein tumhaare ganj e shakar

hai bojh gunahon ka sar par
ruswaayi na ho mehshar mein kahin
daaman mein chhupaalije hamko
khwaja ke dulaare ganj e shakar

achhe hain bure jaise bhi hain
tumhaare hain mere baba ganj e shakar

ik chashme karam se mangton ko
makhdoom banaaya hai tumne
ham par bhi koi rehmat ki nazar
sarkaar hamaare ganj e shakar

allah ki rehmat ka baadal
mangton pe barasne lagta hai
jis simt nigahon se apni
karte hain ishaare ganj e shakar

mehshar mein fana bakshish ke liye
kaafi hai wazeefa ek yahi
lab mere kahein baba baba
dil mera pukaare ganj e shakar

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil