Ik jaam khanakta jaam

har kali mehve khwab ho jaati
patti patti gulab ho jaati
tune dalin na mai-fashan nazrein
warna shabnam sharaab ho jaati

aapke waaste gunah sahi
hum piyein to sawaab banti hai
sau ghamon ko nichodne ke baad
ek qatra sharaab banti hai

dekh kar aapki jawani ko
aarzu e sharaab hoti hai
roz tauba ko todta hoon main
roz niyat kharaab hoti

saakiya ek jaam peene se
janaaatein lad khada ke milti hain
laala o gul kalaam karte hain
rehmatein muskura kar milti hain

ek jaam khanakta jaam
ke saaki raaat guzarne waali hai
de pyar bhara inaam
ke saaki raat guzarne waali hai

maine maana janaab peeta hoon
bakhuda behisaab peeta hoon
log logon ka khoon peete hain
main toh phir bhi sharaab peeta hoon

shikan na daal jabeen par sharaab dete hue
ye muskurati hui cheeez muskura ke pila
suroor cheez ki miqdaar par nahi maukoof
sharaab kam hai to saaki nazar mila ke pila

zindagi ka azab pita hoon
ban ke khana kharaab peeta hoon
roz e mehshar hisaab ho na sake
isliye behisaab peeta hoon

mai parasti meri ibadat
nasha imaan hota hai surahi deen hoti hai
jawani ki ibadat kis qadar rangeen hoti hai
dil uska namaazi ban jaye
ankh uski gulaabi ho jaye
tu jisko muhabbat se dekhe
saaki wo sharaabi ho jaye

mai parasti meri ibadat hai
mai kabhi be wazu nahi peeta
main sharaabi sahi magar saaki
aadmi ka lahu nahi peeta

lehra ke jhoom, jhoom ke laa,muskura ke laa
phoolon ke ras mein chand ki kirne mila ke laa
saagar shikan hai shaikh bhala nosh ki nazar
sheeshe ko zer e damane rangeen chhupa ke laa
kyun jaa rahi hai rooth ke rangeen ye bahaar
jaa ek martaba isse phir bargla ke laa
kehte hain umr e rafta kabhi laut ti nahi
jaa maikde se meri jawani utha ke laa

aabad rahe tera maikhana
ye jaam ye khum ye paimana
sab karde mere naam
ke saaki raat guzarne waali hai

kehte hain sakhi sab log tujhe
tu de mat khaali jaam mujhe
ho jaayega tu badnaam
ke saaki raat guzarne waali hai

teri zulf ke chaaon mein peeta hoon
chahe marta hoon chahe jeeta hoon
mat sich mera anjaam
ke saaki raat guzarne waali hai

yahan sirf 'Qateel' nahin pyasa
har shakhs hai yahan is jaisa
de sabko daawat aam
ke saaki raat guzarne waali hai

Comments

  1. I just couldn't leave your website before telling you that I truly enjoyed the top quality info you present to your visitors? Will be back again frequently to check up on new posts.
    Wedding Dresses

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha