fasle gul hai saja hai maikhaana

dekh kar aapki jawani ko
aarzu e sharaab hoti hai
roz tauba ko todta hoon main
roz niyat kharaab hoti hai

aaapke ke waaste gunah sahi
hum piyein toh sawaab banti hai
sau ghamon ko nichodne ke baad
ek qatra sharaab banti hai

fasle gul hai saja hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana

zindagi jab guzaar deti hai kaleem
yaar phir kya bura hai maikhaana

shaam ke waqt baithne ke liye
sabse achchi jagah hai maikhaana

khat hai shayad kisi sharaabi ka
khat ke upar likha hai maikhaana

kis tarah chchor doon isse waazedil
mushkilon se mila hai maikhaana

jab se hai wo nazzar khafaa hamse
yun lage hai khafaa hai maikhaana

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil