tumhaare hi hone se aabad hai dil

shab e gham ki sahar nahi hoti
ho bhi toh mere ghar nahi hoti
zindagi tu hi mukhtasar ho ja
shab e gham mukhtasar nahi hoti

jod lagte gaye fasaane mein
raaz khulte gaye chhupaane mein
roothne ka sabab tum jaano
ham to masroof hain manaane mein
tune tinke samajh ke phoonk diya
meri duniya thi aashiyaane mein

muhabbat ki koi manzil nahi hai
muhabbat maajil hai saahil nahi hai
meri afsurdagi pe hasne waale
tere pehlu mein shaayad dil nahi hai

tumhara teer e nazar dil ke paar ho ke raha
dil ne dam bhi na maarashikaar ho ke raha

dil ki basti ajeeb basti hai
roz ujadti hai roz basti hai

tumhaare hi hone se aabad hai dil
tumhi jab na hoge to veeran hoga

tumhi se hai hasrat tumhi se hai armaan
na has hasrat hi hoga na armaan hoga

mera dil fida tumpe aur jaan qurbaan
tumhi ho meri zindagani ka saaman

tumhare hi jab kaam aayi ne yeh jaan
toh phir jaan ka kya meri jaan hoga

payaami jo dekha hai us se na kehna
yeh bechainiyaan meri us se na kehna

pareshaaniyaan meri us se na kehna
wo jis dam sunega pareshan hoga

meri jaan tumhare hi kabze mein hai dil
tumhari hi marzi pe hain haalat e dil

jo taskeen doge to taskeen hogi
pareshan karoge to pareshan hogi

jo dil hai yahin dil ki halat yahi hai
jo kuch roz rang e tabiyat yahi hai

salaamat agar josh e wahshat yahi hai
toh ghar hi kisi din bayaaban hoga

nahi gar hifaazat ka saamaan koi
to furqat mein kyun ho pareshan koi

nahi jiska 'Bedam' nigahbaan koi
toh allah uska nigahbaan hoga

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha