ham isliye zaalim tera charcha nahi karta

lazzat e intezaar leta hoon yun shab e gham guzaar leta hoon
jab bhi dasti hai mujhko tanhayi naam tera pukaar leta hoon

roothna mera kaargar na hua yaar mere jatan ko jaan gaya
jab wo aaya mujhe manaane ko main badi saadgi se maan gaya

bhool ho jaati hai yun taish mein aaya na karo
faansle khatam karo yun baat badhaaya na karo

ye adayein e ishaare ye nigahein tauba
in sharaabon ko yun sarre aam lutaya na karo

ham isliye zaalim tera charcha nahi karta
aashiq kabhi mashook ko ruswa nahi karte

wo haal hi poochein kabhi bimaar e alam ka
itni si bhi takleef gawaara nahi karte

kaafir na samajh humko tu aye zaahid e nadaan
but jaan ke us shokh ko sajda nahi karte

dum bharte ho gairon ki muhabbat ka hamesha
apnon ko sataate ko ye achcha nahi karte

'Purnam' koi aaj unko gham zaroor hai warna
bewajah to ansu kabhi aaya nahi karte


Comments

  1. The poet is Purnam Allahabadi.

    ReplyDelete
  2. Assalamualikum.

    All of your wrong you don't submit.
    How is lyrics writer?

    Need respect to lyrics writer.

    I hope next time you must mention lyrics writer name & little word of his Introduction.

    Allah-Hafez,

    GAZI MURAD

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks for pointing out the writer. I usually highlight the poet's name in capitals and quotes. It would be great if you can share poet's introduction. Will try to find some place to add introduction.

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil