ganj e shakar ke naam ka sadka

ganj e shakar ke naam ka sadka
rakh lo mori laaj saabir

tumre charan mein aan padi hun
kirpa karo maharaj saabir

main paap ki phook se darti hun
mujhe door na kariyo ya saabir

mann mohan ali ahmad pyare
dukhiyan ke ghamkhaar saajan

bann ke duganiya charnon mein aayi
tum hi bharo mori aaj saabir

tore charan pe maatha dhar ke
apne soye bhaag jagaaun

main daasi tore prem nagar ki
tum ho more sartaj saabir

raaje tohe maharaj pukaarein
mangte kahein tohe apna daata

har koi to pe bal bal jaaye
kaisa hai tora raaj saabir

main dukhiyaari bhaagon maari
tori or takun more saajan

tum jo karo mo pe ek najariya
bigde banein more kaaj saabir

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil