hadd e kunfikan se guzar gaya

fikr e manzil hai na hosh e jada e manzil mujhe
jaa raha hoon jis taraf le jaa raha hai dil mujhe

kisi se meri manzil ka pata paaya nahi jaata
jahaan man hun farishton se wahaan jaaya nahi jaata

hadd e kunfikan se guzar gaya
hadde lamakaan se guzar gaya

teri justju mein khabar nahi
main kahaan kahaan se guzar gaya

kabhi misl e mauj e hawa e gul
kabhi bann ke dood e fughan e dil

tere shauk e deed mein baarha
tere aastaan se guzar gaya

yeh toh apna apna hai hausla
yeh to apni apni udaan hai

koi ud ke reh gaya baam tak
koi kehkashaan se guzar gaya

shab e hijr has ke guzaar li
gham e ishq dil se laga liya

mere jazbe shauk ki daad de
main har inteha se guzar gaya

wo makaam dair o haram bane
wahin sab ki gardanein kham hui

wahin sar basajda hui jabeen
tu jahaan jahaan se guzar gaya

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha