hai kahan ka iraada tumhaara sanam

aaj ki baat phir nahi hogi
yeh mulaakaat phir nahi hpgi
aise baadal toh phir bhi aayenge
aisi barsaat phir nahi hogi

raat unko bhi yun hua mehsoos
jaise yeh raat phir nahi hogi
ik nazar mud ke dekhne waale
kya yeh khairaat phir nahi hogi

shab e gham ki sahar nahi hoti
ho bhi toh mere ghar nahi hoti
zindagi tu hi mukhtasar ho ja
shab e gham mukhtasar nahi hoti

raazdaaron se bach ke chalta hoon
ghamgusaaron se bach ke chalta hoon
mujhko dhokha diya sahaaron ne
ab sahaaron se bach ke chalta hoon

maine masoom bahaaron mein tumko dekha hai
maine purnoor sitaron mein tumhein dekha hai
mere mehboob teri pardanasheeni ki kasam
maine ashqon ki qataaron mein tumhein dekha hai

ham buton se jo pyar karte hain
naql e parwardigar karte hain
itni kasamein na khao ghabraakar
jaao ham aitbaar karte hain
ab bhi aa jaao kuch nahi bigda
ab bhi ham intezaar karte hain

saaz e hasti baja raha hoon main
jashn e masti mana raha hoon main
kya ada hai nisaar hone ki
unse pehlu bacha raha hoon main
kitni pukhta hai meri naadaani
tujhko tujhse chchupa raha hoon main
dil dubota hoon chashme saaki mein
mai ko mai mein mila raha hoon main

na ham samjhe na tum aaye kahin se
paseena poonchiye apni jabeen se

hai kahan ka iraada tumhaara sanam
kiske dil ko adaon se behlaaoge

sach bataao ke is chaandni raat mein
kis se waada kiya hai kahan jaaoge

dekho achcha nahin hai tumhara chalan
yeh jawaani ke din aur yeh shokhiyaan

yun na aaya karo baal khole hue
warna duniya mein badnaam ho jaaoge

aaj jaao na bechain karke mujhe
jaane jaan dil dukhaana buri baat hai

zulf rukh se hata ke baat karo
raat ko din bana ke baat karo
maikade ke chirag madham hain
zara ankhein utha ke baat karo
phool kuch chaahiyein huzoor hamein
tum zara muskura ke baat karo
yeh bhi andaz e guftagu hai koi
jab karo dil dukha ke baat karo

ham tadapte rahenge yahan raat bhar
tum to aaraam ki neend so jaaoge

pass aao to tumko lagayein gale
muskurate ho kyun door se dekh kar

yun hi guzre agar yeh jawaani ke din
ham bhi pachchtayenge tum bhi pachchtaaoge

bewafa bemurrawat hai unki nazar
yeh badal jayenge zindagi loot kar

husn waalon se dil ko lagaaya agar
aye fana dekho bemaut marr jaaoge

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha