haqiqat ka agar afsaana ban jaaye

haqiqat ka agar afsaana ban jaaye to kya kije
gale milke bhi wo begaana ban jaye to kya kije

hamein sau baar tarq e maikashi manzoor hai lekin
nazar uski agar maikhaana ban jaye to kya kije

nazar aata hai sajde main jo aksar sheikh sahib ko
wo jalwa jalwa e jaanaana ban jaaye to kya kije

bada dukh shamma ko hai ek parwane ke jalne se
jo saari bazm hi parwana ban jaaye to kya kije

tere milne se jo mujhko hamesha mana karta hai
agar wo bhi tera deewana ban jaaye to kya kije

khuda ka ghar samajh rakha hai hamne jis dil ko
'Qateel' iss mein bhi ik butkhaana ban jaaye to kya kije

Comments

  1. the second shayri is-
    "Hamein sau baar tarq-e-maikashi manzur hai lekin,
    nazar uski agar maikhana ban jaye to kya kije.."

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. it is an inspirational that all the known faithful of God to think about themselves and live the life that brings glory to God as the Creator of all that exists .

    ReplyDelete
  4. it is an inspirational that all the known faithful of God to think about themselves and live the life that brings glory to God as the Creator of all that exists .

    ReplyDelete
  5. Can someone tell me the meanings of -

    wo jalwa jalwa e jaanaana ban jaaye to kya kije

    ReplyDelete
    Replies
    1. nazar aata hai sajde main jo aksar sheikh sahib ko
      wo jalwa jalwa e jaanaana ban jaaye to kya kije

      The divine revelation that the pious sees in his prayer,
      if that that revelation became reality(in person) then what would happen.

      Delete
    2. Jalwa e janana means mehboob ka jalwa

      Delete
  6. Can anyone please please explain me the meaning of this phrase

    hamein sau baar tarq e maikashi manzoor hai lekin
    nazar uski agar maikhaana ban jaye to kya kije

    ReplyDelete
    Replies
    1. It means that I am ready to leave the habit of drinking a hundred times. But what would I do when their eyes become a tavern in themselves.

      Delete
  7. Bro watsapp me I will try my best to explain
    +971567253066

    ReplyDelete
  8. khuda ka ghar samajh rakha hai hamne jis dil ko
    'Qateel' iss mein bhi ik butkhaana ban jaaye to kya kije koi iska matlab bata do please ye but ka matlab kya hota hy butkhana yani kya?

    ReplyDelete
  9. Butkhana means place of Idols/statues/Murti

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil