Haram hai kya cheez dair kya hai

Sadka e husn lutate hainwo jab aate hain
Bigri taqdeer banate hain wo jab aate hain
Jalwa e toor dikhaate hain wo jab aate hain
Hosh ke hosh udaate hainwo jab aate hain
Ek hi sajde mein taqmeel e ibadat ke liye
Hum kadam choomne jaate hain wo jab aate hain

Haram hai kya cheez dair kya hai
Kisi pe meri nazar nahin hai
Main tere jalwon mein kho gaya hoon
Mujhe ab apni khabar nahin hai

Hasrat e khuld nahin, aarzoo e hoor nahin
Tere jalwon ke siway kuchh mujhe manzoor nahin

Tujhe sochna muhabbat, tujhe dekhna ibadat
Yahi meri bandgi hai, main karoon teri ibadat

Jinhein hain darr rah e imtehaan se
Unhein abhi yeh khabar nahin hai
Agar karam unka rahbar ho
Kathin koi rahguzar nahin hai

Bashouq e sajda chale hain lekin
Ajeeb masliq hai aashiqon ka
Wahan ibadat haraam thehri
Jahan tera sang e dar nahin hai

Teri nawaazish meri musarrat
Meri tabahi jalaal tera
Kahin nahin hai mera thikana
Jo teri seedhi nazar nahin hai

Jahan bhi koi hai mitne wala
Teri inayat ke saaye mein hai
Bana liya jisko tune apna
Wo dar badar nahin hai

Teri talab teri aarzoo mein
Nahin mujhe hosh bandagi ka
Jhuka hoon yun teri aastan par
Ki mujhko ehsaas e sar nahin hai

Har ik jagah tu hi jalwagar hai
Wo butkada ho ke toor e seena
Nigah e duniya hai kor baatin
Teri tajalli kidhar nahin hai

Yahin pe jeena yahin pe marna
Yahin hain duniya yahin hain ufbaan
Fanaa dar e yaar ke ilawa
Kahin hamara guzar nahin hai


Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil