jab bhi jee chahta hai peene ko

kyun ho jaake wo maikade mein kharaab
tu pilaye jise nazar se sharaab
allah allah wo tera daure shabaab
khul gaya jaise gulsitan ka baab

jab bhi jee chahta hai peene ko
tera maikhaana yaad aata hai
bhool baitha hoon muddaton se jise
phir wo afsaana yaad aata hai

yaad rehta nahin mujhe peena
tod deta hoon saagar o meena
jab teri mad bhari nigaahon ka
mujhko paimaana yaad aata hai

yaad aati hai jab teri mujhko
saari duniya ko bhool jaata hoon
dil nahin lagta sehne gulshan mein
tera veeraana yaad aata hai

wo koi badnaseeb hi hoga
roshni se nahin hai pyar jise
ho gaya jo shaheed ulfat mein
wo hi parwaana yaad aata hai

log khaate hain jab wafaa ki kasam
chot si ek dil pe lagti hai
marr mita jo wafaa ki raahon mein
aaj deewana yaad aata hai

gair samjha jise 'Fareedi' ne
dosti ke wohi toh kaabil tha
apne sab ho gaye paraye jab
wohi begaana yaad aata

Comments

  1. awsome Bro... <3 <3 <3 <3 <3

    ReplyDelete
  2. Gulistan ka baag**
    Mad bhri nihgaon ka paimana* yaad
    Gulshan mein tera Virana* yaad

    ReplyDelete
    Replies
    1. "Gulsitan ka baab" is correct. I have corrected other errors. Thanks for your feedback!

      Delete
    2. Mention not buddy 😇

      Delete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  4. It should be sehn e gulshan not sehm e gulshan

    ReplyDelete
  5. Apni sab hogaye parae jab.

    The second last line needs to be correct.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil