jaanaana chaahiye dar e jaanaana chaahiye

kaabe ka shauq hai na sanam-khaana chaahiye
jaanaana chaahiye dar e jaanaana chaahiye

saagar ki arzoo hai na paimaana chaahiye
bas ik nigah e murshid e maikhaana chaahiye

 jab tak mile na dast e karam se karam ki bheekh
darwaaza e kareem se jaana na chaahiye

aankhon mein dam ruka hai kisi ke liye zaroor
warna mareez e hijr ko marr jaana chaahiye

'Bedam' namaaz e ishq yahi hai khuda gawah
har dam tasawwur e rukh e jaanaana chaahiye

aur waada andheri raat mein aane ka tha qamar
ab chaand chchup gaya unhein aa jaana chaahiye

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil