kasid ki ummeed hai yaaron

nabzon jawaab de gayin tod raha hai dam koi
namabar unse ye kehna nazaaka hangaam hai
ibtida ke khat nahi ye aakhiri paigaam hai

kasid ki ummeed hai yaaron kaasid to aa jaayega
lekin ham us waqt na honge jab unka khat aayega

kehte hain kisko dard e muhabbat kaunn tumhein batlaayega
pyar kisi se karke dekho khud hi pata chal jaayega

kitni lateef shai hai muhabbat na poochiye
is meethe meethe dard ki lazzat na poochiye

aye dost muhabbat hai wo nazuk si haqeeqat
mehsoos jise kar sakte hain samjha nahi sakte

thaam ke dil reh jaayenge woh dekh ke meri mayyat ko
mera janaaza jab ke nikal kar unki gali se jaayega

thokar khaane waale raahi ismein khata rehbar ki nahi
jo na chalega dekh ke rasta raah mein thokar khaayega

lutne ka afsos baja hai lekin aye lutne waalon
kisko khabar thi kaafila aakar manzil pe lut jaayega

sheesha e dil us but ne toda purnam ispe hairat kya
toot hi jaayega jo sheesha paththar se takraayega


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha