khudi ka sirre nihan la illah ilallah

ki haq se farishton ne iqbal ki ghammazi
gustakh hai karta hai fitrat ki hinabandi
khaaki hai magar iske andaz hain aflaaki
rumi hai na shaami hai kashi na samarkandi
sikhlayi farishton ko aadam ki tadao isne
aadam ko sikhaata hai aadab e khuda bandi

khudi ki jalwaton mein qibriyayi
khudi ki khalwaton mein mustafayi
zmeen o aasmaan o arsh o kursi
khudi ki zad mein hai saari khudayi

khudi ka sirre nihan la illah ilallah
khudi hai teg fasan la illah ilallah

ye daur apne barahim ke talaash mein hai
sanam kada hai jahaan la illah ilallah

kiya hai tune mata e guroor ka sauda
fareb e sood o ziyan la illah ilallah

ye maal o daulat e duniya ye rishta o paiwand
butan e weham o ghuman la illah ilallah

agar che but hain jama-at ki aastinon mein
mujhe hai hukm e azaan la illah ilallah

ye nagma fasl e gul o lala ka nahi paaband
bahaar ho ke khizan la illah ilallah

ilm ka maujood aur aur fakhr ka maujood aur
ash had o allahelah ash had o allahelah

nai takht o taaj mein nai lashkar o sipah mein hai
jo baat mard e qalandar ki baargah mein hai

sanam kada hai jahaan aur mard e haq hain khaleel
ye nukta woh hai jo poshida lailah mein hai

gaafil na ho khudi se kar apni paasbani
shayad kisi haram ka tu bhi hai aastaana

ye bandagi gadayi wo bandagi khudayi
ya banda e khuda bann ya banda e zamaana

teri nigah se dil seenon mein kaampte the
khoya gaya hai tera jazbe qalandaraana

agar che but hain jama-at ki aastinon mein
mujhe hai hukm e azaan la illah ilallah


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil