koi mushkil tha mehshar mein unhein kaatil bana dena

koi mushkil tha mehshar mein unhein kaatil bana dena
magar kuch soch kar rehman ya chara dua dena

na poocha kam saneemi tum daga dene ki tarqeebein
jawaani aayegi jab khud sikha degi daga dena

koi apna zamaana yaad karke dil bhar aaya tha
jo ab aansu koi dekho to mehfil se utha dena

main mujrim hun mujhe iqraar hai jurm e muhabbat ka
magar pehle khata par gaur karlo phir saza dena

main is haalat se pahuncha hashar waale khud pukaar uthe
koi fariyaad wala aa raha hai raasta dena

ijaazat ho to keh dun qissa e ulfat sarre mehfil
mujhe kuch toh fasaana yaad hai kuch tum suna dena

'Qamar' wo sab se chchup kar aa rahe hain fatiha padhne
kahun kisse ki meri shama e turbat ko bujha dena

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil