shikwa

kyun ziyaankaar banun sood faraamosh rahun
fikr e farda na karun mehwe gham e dosh rahun

naale bulbul ke sunoon aur hamatan gosh rahun
hamnawa main bhi koi gul hoon ke khaamosh rahun

jurrat aamoz miri taab e sukhan hai mujhko
shikwa allah se khaakam badaahan hai mujhko

hai baja shewa e tasleem mein mashoor hain ham
kissa e dard sunaate hain ke majboor hain ham

saaz e khaamosh hain fariyaad se maamoor hain ham
naala aata hai agar lab pe to mazoor hain ham

aye khuda shikwa e arbaabe e wafa bhi sun le
khugar e hamd se thoda sa gila bhi sun le

thi toh maujood azal se hi teri zaat e kadeem
phool tha zaib e chaman par na pareeshan thi shameem

sharat insaaf hai aye sahib e altaaf e ameem
boo e gul phailti kis tarah jo hoti na naseem

humko jameeyat e khaatir yeh pareshaani thi
warna ummat tere mehboob ki deewani thi

humse pehle tha ajab tere jahaan ka manzar
kahin masjood the patthar kahin maabood shajar

khugar e paikar e mehsoos thi insaan ki nazar
maanta phir koi andekhe khuda ko kyun kar

tujhko maaloom hai leta tha koi naam tera
quwwat e baazu e muslim ne kiya kaam tera

bas rahe the yahan saljuk bhi tooraani bhi
ehle chin cheen mein iraan mein saasaani bhi

issi maamoore mein aabaad the yunaani bhi
isssi duniya mein yahoodi bhi the nusraani bhi

par tere naam pe talwaar uthaayi kisne
baat jo bigdi hui thi wo banaayi kisne

the hameen ek tere maarka aaraaon mein
khushkiyon mein kabhi ladte kabhi dariyaaon mein

deen azaanen kabhi europe ke kaleesaaon mein
kabhi afrika ke tapte hue sehraaon mein

shaan ankhon mein na jachti thi jahaandaaron ki
kalima padhte the ham chchaaon mein talwaaron ki

ham jo jeete the to jangon ki musibat ke liye
aur marte the tere naam ki azmat ke liye

thi na kuch teg zani apni hakoomat ke liye
sar bakaf phirte the dehar mein daulat ke liye

kaum apni jo zar o maal e jahaan par marti
butfaroshi ke iwaz but shikni kyun karti

tal na sakte the agar jang mein ad jaate the
paaon sheron ke bhi maidaan se ukhad jaate the

tujhse sarkash hua koi toh bigad jaate the
teg kya cheez thi ham top se lad jaate the

naksh tauheed ka har dil pe bithaaya hamne
zer e khanjar bhi yeh paigaam sunaaya hamne

tu hi keh de ke ukhaada dar e khaiber kisne
shehar qaisar ka jo tha usko kiya sar kisne

tode makhlooq khudawando ke paikar kisne
kaat kar rakh diya kuffar ke lashkar kisne

kisne thanda kiya aatish kada e iran ko
kisne phir zinda kiya tazkara e yazdaan ko

kaun si kaum faqat teri tlabgaar hui
aur tere liye zehmat kash e paikaar hui

kis ki shamsheer jahangir jahandaar hui
kiski taqbeer se duniya teri bedaar hui

kiski haibat se sanam sehme hue rehte the
muh ke bal girke hu wa-allah hu ahad kehte the

aa gaya ain ladayi mein agar waqt e namaaz
qibla ru hoke zameen bos hui kaum e hijaaz

ek hi saf mein khade ho gaye mahmood o ayaaz
na koi banda raha aur na koi banda nawaaz

banda o sahib o muhtaaj o ghani ek hue
teri sarkaar mein pahunche toh sabhi ek hue

mehfil e kono maqaam mein sehar o shaam phire
mai e tauheed ko lekar sifat e jaam phire

koh mein dasht mein lekar tera paigaam phire
aur maaloom hai tujhko kabhi naqaam phire

dasht to dasht hain dariya bhi na chchode hamne
bahr e zulmaat mein dhauda diya ghode hamne

safah e dehar se baatil ko mitaaya hamne
nau e insaaf ko ghulaami se chchudaaya hamne

tere kaabe ko jabeenon se basaaya hamne
tere quran ko seene se lagaaya hamne

phir bhi hamse yeh gila hai ki wafadaar nahi
ham wafadaar nahi tu bhi toh dildaar nahi

ummatein aur bhi guzri hain inmein gunahgaar bhi hain
ejz waale bhi hain mast e mai e pindar bhi hain

in mein kaahil bhi hain gaafil bhi hain husheyaar bhi hain
saikadin hain jo tere naam se bezaar bhi hain

rehmatein hain teri agheyaar ke kaashanon par
barq girti hai toh bechaare musalmaanon par

but sanamkhaanon mein kehte hain musalmaan gaye
hai khushi unko ke kaabe ke nigahbaan gaye

manzil e dehar se unthon ke udi khawaan gaye
apni baghlon mein dabaaye hue quran gaye

khandazan kufr hai ehsaas tujhe hai ke nahi
apni tauheed ka kuch paas tujhe hai ke nahi

tujhko chchora to rasool e arabi ko chchora
butgari pesha kiya but shikani ko chchora

ishq ko ishq ki ashuftahsarri ko chchora
rasm e salmaan o awais e qarani ko chchora

aag takbeer ki seenon mein dabu rakhte hain
zindagi misl e bilal e habshi rakhte hain

ishq ki khair wo pehli si ada bhi na sahi
jaada paimaayiye tasleem o raza bhi na sahi

muztarib dil sifat e qibla numa bhi na sahi
aur paabandi e aaeen e wafa bhi na sahi

kabhi hamse kabhi gairon se shanasaayi hai
baat kehne ki nahi tu bhi toh harjaayi hai

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil