maikada bhi apna hai

maikada bhi apna hai
bazm bhi hamaari hai
hamne zindagi saari
ishq mein guzaari hai

umar to saari kati ishq e butan mein momin
aakhiri waqt mein kya khaak musalmaan honge

zulf bikhri bihkri si
jism jaaga soya sa
teri subah keh rahi hai
teri raat ka fasaana

zulf bikhri bikhri si
jism jaaga soya sa
raat kiski baahon mein
aapne guzaari hai

wo jo kal tumhaare the
wo guzar gaye jaan se
yeh zara bataao to
aaj kiski baari hai

bheege bheege mausam mein
khil gaya hai phoolon sa
yeh badan tumhaara hai
yeh nazar hamaari hai

ham andheri raaton mein
noor banke nikle hain
hamne apni jaan de ke
zindagi sanwaari hai

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha