main aur meri aawaargi

phirte hain kabse dar badar
ab is nagar ab us nagar
ik doosre ke hamsafar
main aur meri aawaargi

na aashna har rehguzar
na meherbaan har ik nazar
jaayein to ab jaayein kidhar
main aur meri aawaargi

ham bhi kabhi aabaad the
aise kahan barbaad the
befikr the aazaad the
masroor the dilshaad the

wo chaal aisi chal gaya
ham bujh gaye dil jal gaya
nikle jala ke apna ghar
main aur meri aawaargi

wo mahwash wo mahru
wo maah e kaamil hu ba hu
thi jisjki baatein koo ba koo
usse ajab thi guftagu

phir yun hua wo kho gayi
to mujhko zidd si ho gayi
laayenge usko dhoondh kar
main aur meri aawaargi

yeh dil hi tha jo seh gaya
wo baat aisi keh gaya
kehne ko phir kya reh gaya
ashqon ka darya beh gaya

jab kehke wo dilbar gaya
tere liye main marr gaya
rote hain usko raat bhar
main aur meri aawaargi

ab gham uthaaein kis liye
aansu bahaaein kis liye
yeh dil jalayein kis liye
yun jaan gawaayein kis liye

pesha na ho jiska sitam
dhoondhenge ab aisa sanam
honge kahin to kaargar
main aur meri aawaargi

aasaar hain sab khot ke
unkaan hain sab chot ke
ghar band hain sab got ke
ab khatm hain sab totke

kismat ka yeh sab pher hai
andher hai sab andher hai
aise hue hain beasar
main aur meri aawaargi

jab hamdam o hamraaz tha
tab aur hi andaaz tha
ab souz hai tab saaz tha
ab sharm hai tab naaz tha

ab mujhse ho to ho bhi kya
hai saath ho to wo bhi kya
ik behunar ik besamar
main aur meri aawaargi

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil