maine dekha use ibtida ho gayi

maine masoom bahaaron mein tumhein dekha hai
maine purnoor sitaaron mein tumhein dekha hai
mere mehboob teri pardanasheeni ki kasam
maine ashqon ki kataaron mein tumhein dekha hai

shab e gham ki sahar nahi hoti
ho bhi toh mere ghar nahi hoti
zindagi tu hi mukhtasar ho ja
shab e gham mukhtasar nahi hoti

sheeraaza e hayaat pareeshaan ho gaya
yeh marhala bhi khair se aasaan ho gaya
mere sukoon e dil ko toh hona hi tabah
unki bhi ik nigah ka nuksaan ho gaya

maine dekha use ibtida ho gayi
usne dekha mujhe inteha ho gayi

yeh kis nazaron se usne aaj dekha
yeh uska dekhna dekha na jaaye

aisi mili hai apni nazar us nazar ke saath
sab chhorne padhe hain mujhe umr bhar ke saath

bewafayi toh ki tune aye bewafa
jaane duniya yeh kyun bewafa ho gayi

hum ibaadat mein rasmon ke qaayil nahi
tujhko dekha toh yaad e khuda ho gayi

tujhko kya is se koi jiye ya marre
rooth jaana toh teri ada ho gayi

tum ruke nabz e hasti ka dam ruk gaya
tum chale toh qayaamat bapa ho gayi

chain dil ko nahi lamha bhar ke liye
lamha bhar ki mulaakaat kya ho gayi

zindagi apni kitni samajhdaar thi
ik but e nasamajh par fida ho gayi

aankh se aankh aur dil se dil kya mila
dono jaanib se 'Saajid' raza ho gayi

Comments

  1. hum ibaadat mein rasmon ke qaayil nahi
    tujhko dekha toh yaad e khuda ho gayi

    What does this mean?

    ReplyDelete
    Replies
    1. This means that,
      I am not used to rites and customs in prayer.
      When I remember you, it is as if I remember God.

      Delete
  2. Aankh se aankh aur dil se dil kya mila
    Dono janib se saajid raza hogayi.
    Please can you explain?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Eyes and heart (of the lover and beloved) met,
      Both sides agreed silently.

      Delete
  3. Maine dekha use ibtida ho gayi
    Usne dekha mujhe inteha ho gayi

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha