munis hai ghamgusar hai aur charasaaz hai

har bashar ke waaste sarmaaya e taskeen hai
aapki woh zaat ya baba fareed ud din hai
aapji adna tawajjoh ka karishma dekhiye
koi sabir bann gaya koi nizam ud din hai

munis hai ghamgusar hai aur charasaaz hai
ganj e shakar kareem hai bandanawaaz hai

jo maangne hai maango
lena hai jo bhi le lo

sab pe karte hain karam
koi adna ho ya aala

aye dil muraadein dil kahan paane ki der hai
baba ke dar pe haath uthaane ki der hai

aaj baba ko ru ba ru karlo
jo bhi karni hai aarzu karlo

hai sahib e kamaal wo hadi e rehnuma
milti hai unko dar se har ik dard ki dawa

roze pe unke hota hai deedaar e mustafa
aa tu bhi aake dekh le faizan e auliya

shaan e ali hai dilbar e shah e hijad hai
ganj e shakar kareem hai bandanawaaz hai

muddat se aarzu hai yeh mujh khaaksaar ki
roze pe leke jaaun main chaadar mazaar ki

bipta sunaaun unko dil e bekaraar ki
rakhte hain laaj aap har ik sharmsaar ki

wo hami e gharib hain bekas nawaaz hain
ganj e shakar kareem hai bandanawaaz hai

jazbat e shauk e deed apni nahi khabar
meri jabeen e shauk hai ganj e shakar ka dar

kehta hoon haal e dard par sadka ho chashm o tar
aye zohad ul ambiya karo ik reham ki nazar

sarkar aap maalik e souz o gudaaz hain
ganj e shakar kareem hai bandanawaaz hai

'Saadik' pe lutf o mehar ho ya shah e zee waqaar
juz aapke nahi hai koi mera ghamgusaar

dar pe huzur ke hoon pada hoke sharmsaar
mere bhi ujde baagh mein aa jaye phir bahaar

baba fareed aap haqeeqat ka raaz hain
ganj e shakar kareem hai bandanawaaz hai

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha