mast aankhon ki kasam

mast aankhon ki kasam khaane ka mausam aa gaya
jaam ko sheeshe se takraane ka mausam aa gaya

asmat e tauba ko thukraane ka mausam aa gaya
aa gaya peekar behak jaane ka mausam aa gaya

aaj tauba ko ghataon ke hawaale kardo

tauba to kar chuka tha lekin e jaleel
kaali ghata ko dekhkar neeyat badal gayi

lutf e mai tujhse kya kahun zahid
hay kambakht tune kabhi mai pee hi nahi

aye waayza tu sharaab pee le
na kar tu kuch ijtanaab pee le
main teri manun namaaz padh lun
tu meri maan sharaab pee le

cham cham karta saawan aaya
mee ke dar se bhaagi tauba

phir ghata chaayi behak jaane ka mausam aa gaya
jaam ka sheeshe ka paimaane ka mausam aa gaya

ye fazaan ye chandni raatein ye daur e jaam o mai
mastiyon mein gark ho jaane ka mausam aa gaya

ho rahin hain ik markaz pe dil ki wahshatein
hamnasheen shayad bahar aane ka mausam aa gaya

muskuraata hai koi chup chup ke dil ki aad mein
hasraton ke raqs farmaane ka mausam aa gaya

rafta rafta wakeyat e dard yaad aane lage
chupke chupke ashq barsaane ka mausam aa gaya


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha