mei zeest pur musarrat

mei zeest pur musarrat
kabhi thi na hai na hogi
koi behtareen soorat
kabhi thi na hai na hogi

mujhe husn ne sataaya
mujhe ishq ne mitaaya
kisi aur ki yeh haalat
kabhi thi na hai na hogi

main yeh jaante hue bhi
teri anjuman mein aaya
ke tujhe meri zaroorat
kabhi thi na hai na hogi

jo gila kiya hai tumse
to samajh ke tumko apna
mujhe gair se shikaayat
kabhi thi na hai na hogi

yeh karam hai doston ka
jo woh keh rahe hain sabse
ke 'Naseer' par inaayat
kabhi thi na hai na hogi

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil