mere makhdoom saabir ki kya shaan hai

jalwa dikhado saabiri makhdoom saabir kaliyari
ho jaaye hajj e akbari makhdoom saabir kaliyari

mere makhdoom saabir ki kya shaan hai
jo gada unka dekha woh sultan hai

unki zulfein hain ya noor ki badliyaan
unka rukh hai ya tafseer e quran hai

yeh haqeeqat ma as saabiri se khuli
jalwagar aap kaliyar mein rehman hai

is mein us mein tujh mein mujh mein
tu hi jalwagar hai

tu hi tu hi na duja koi
pargat bhayo muhammad hor

jo dekha so tujhi ko dekha
bhikha gur ka ant na lekha

dehli mein ajmer mein
paak pattan mein kaliyar mein
tu hi jalwagar hai

zaahir tu hai toh main niha hoon
baatin tu hai toh main aya hoon
tu hi zaahir tu hi baatin
tu hi tu hai toh main kahan hoon

kabhi ajmer mein
kabhi dehli mein
kabhi paak pattan mein
kabhi kaliyar mein

tujh ko hi hamne ja baja dekha
kahin zaahir kahin chhupa dekha
kahin kaasa liye gada dekha
kahin wo baadshah e takhtnasheen

apni mazhaat e kaabil banaaya mujhe
mujhpe sarkar e kaliyar ka ehsaan hai

yun toh sab rang achhe hain saajid magar
saabiri rang ki aur hi shaan hai

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil