jab nazar se milayi maza aa gaya

mere rashq e qamar tune pehli nazar jab nazar se milayi maza aa gaya
barq si gir gayi kaam hi kar gayi aag aisi lagayi maza aa gaya

jaam mein ghol kar husn ki mastiyan chaandni muskuraayi maza aa gaya
chand ke saaye mein aye mere saakiya tune aisi pilayi maza aa gaya

nasha sheeshe mein angrayi lene laga bazm e rindan mein saagar khanakne laga
maikade pe barasne lagin mastiyan jab ghata ghir ke chchayi maza aa gaya

behijabana wo saamne aa gaye aur jawaani jawaani se takra gayi
ankh unki ladi yun meri ankh se dekh kar ye ladayi maza aa gaya

ankh mein thi haya har mulaakaat par surkh aariz hue husn ki baat par
usne sharma ke mere sawaalaat pe aise gardan jhukayi maza aa gaya

shaikh sahib ka imaan bik hi gaya dekh kar husn e saaki pighal hi gaya
aaj se pehle ye kitne maghroor the lut gayi paar sayi maza aa gaya

aye 'Fana' shukr hai aaj baade fana usne rakh li mere pyar ki aabroo
apne haathon se usne meri qabr par chaadre gul chadayi maza aa gaya

Comments

  1. No words can describe these words.. <3

    ReplyDelete
  2. Nusratt sahab and his song's both are awesome

    ReplyDelete
  3. Awesome song and my i con hritik roshan

    ReplyDelete
  4. Awesome qawwali itne jabar jast ha ya qawwali ka iske taref me lafz kam pad jaya
    Aur ya qawwali me din me 10 se 20 bar sunta ho apna mobile me apnr car me

    ReplyDelete
  5. Absolute aw big solute to dis kawaali

    ReplyDelete
  6. Bol nhi ye ehsas h....BBS mhsus kijiye

    ReplyDelete
  7. Bol nhi ye ehsas h....BBS mhsus kijiye

    ReplyDelete
  8. I have No words can describe these words...................awesome

    ReplyDelete
  9. who wrote this exactly...not copy paste...but exactly who penned this?

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha