mere saaki ye tamasha tere maikhane ka

bhool jaun main zamaane ka gila aye saaki
haan pila aur pila aur pila aye saaki
bandh kuchch aisi muhabbat ki hawa aye saaki
phir badal jaaye zamaane ki faza aye saaki
khanakte jaam ka mohtaaj main nahi saaki
teri nigah salaamat mujhe kami kya hai

mere saaki ye tamasha tere maikhane ka
jhoom kar aayi hai madmast ghata aye saaki
tishna kaami ka na reh jaaye gila aye saaki

jaam par jaam diya jaata reh
tere maikhaane ki khair

pila nahi jo gurezan hain chand paimaane
teri nigah salaamat hazaar maikhaane

mere saaki ye tamasha tere maikhane ka
saari mehfil ko nasha ek hi paimaane ka

ab kisi dor se kaabu mein nahi aane ka
khalq dekhegi tamasha tere deewane ka

baat kehta kuch aisi ke na samjhe koi
ye bhi ik gaur talab rang hai deewane ka

chashme e saaki hain udhar aur mera dil hai idhar
aaj takrao hai paimaane se paimaane ka

baat bebaat utha deta hai ik chched nahi
pad gaya hai usse chaska mujhe tadpaane ka

wo bahar aayi 'Naseer' aur wo uthe baadal
jee chahta hai aaj koi aisi pila de jo mast bana de

wo bahar aayi 'Naseer' aur wo uthe baadal
baat saagar ki chale zikr ho maikhaane ka

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha