mustafa ya mustafa

main gunahon mein ghira hoon
kijiye mujhko riha mustafa ya mustafa

dukh bhare lamhaat mein is shabe zulmaat mein
mujhko hai noor e mujassam hai tera hu aasra
mustafa ya mustafa mustafa ya mustafa

gham ka maara hoon ya rasool allah
besahaara hoon ya rasool allah
gham ke maaron ki laaj rakh lije
benawaon pe bhi karam kije

aap ko yaad kar liya maine
kalb ko shaad kar liya maine
mera dil bhi nisaar meri jaan bhi nisaar
main toh kya tumpe dono jahaan nisaar
mustafa ya mustafa mustafa ya mustafa

bekason ke liye sahaara hai
doobton ke liye kinaara hai
rehmatein do jahaan bahaar e karam
hai faqat aap hi se mera bharam
mustafa ya mustafa mustafa ya mustafa

mera dil bhi hai beqaraar o malool
bahr e hasnain aye muda ke rasool
aeena dard ka hai deeda e tar
mere aaka ho karam ki ek nazar
mustafa ya mustafa mustafa ya mustafa

rehmatal lil aal ameen
koi bhi tujhsa naheen
khaak tere dar ki hai
khaak e shafa
mustafa ya mustafa

aur mehboob e khuda
kaun hai tere siwa
tera ghar wo ghar hai jisme
hain sabhi mushkil kusha
mustafa ya mustafa

tu hai akhi e murtaza
tera wasi mushkil kusha
dukhtar hai teri faatima nana hai tu hasnain ka
panjtan ka naam hi konain ka raaz e baka
mustafa ya mustafa mustafa ya mustafa

is dardashe ayyam main
tarteeb subho shaam main
har samt hain ranj o mahan
har samt hain daar o rassan
ik aalam e qarbo bala
imdaad mehboob e khuda
mustafa ya mustafa 

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha