mast nazaron se allah bachaye

jane waale hamari mehfil se chaand taaron ko saath leta ja
ham khizan se nibah kar lenge tu baharon ko saath leta ja

khizan ke daur mein ehde bahaar keta hoon
koi bhi waqt ho hasn kar guzaar leta hoon

gulon se rang sitaron se roshni lekar
jamaal e yaar ka naksha utaar leta hoon

ye jo deewane se do chaar nazar aate hain
inmein kuch sahib e asraar nazar aate hain

teri mehfil ka bharam rakhte hain so jaate hain
warna ye log to bezaar nazar aate hain

mere daaman mein to kaanton ke siwa kuch bhi nahi
aap phoolon ke kharidaar nazar aate hain

hashar mein meri kaun gawahi dega 'saagir'
sab tumhare hi tarafdaar nazar aate hin

umar jalwon mein basar ho ye zaroori to nahi
har shab e gham ki sahar ho ye zaroori toh nahi

neend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai
unki aagosh mein sar ho ye zaroori toh nahi

aag ko khel patangon ne samajh rakha hai
sab ko anjaam ka darr ho ye zaroori toh nahi

sheikh karta hai jo masjid mein khuda ko sajde
iske sajdon mein asar ho ye zaroori toh nahi

sabki saaki pe nazar ho ye zaroori hai magar
sab pe saaki ki nazar ho ye zaroori toh nahi

koi dil mein liye armaan chala jaata ha
koi khoye hue ausaan chala jaata hai

husn waalon se ye keh do ke na niklein baahir
dekhne waalon ka imaan chala jaata hai

mast nazaron se allah bachaye mahjamaalon se allah bachaye
har bala sar pe aa jaye lekin husn waalon se allah bachaye

khuda bachaye teri mast mast nazaron se
farishta ho to behak jaaye aadmi kya hai

har kali mehve khwab ho jaye patti patti gulab ho jaye
tune daali na maifashan nazrein warna shabnam sharaab ho jaye

inki masoomiyat par na jaana inke dhikhe mein hargiz na aana
loot lete hain ye muskura kar inki chaalon se allah bachaye

jalakh rukhi dikhakar muskurakar ye loot lete hain
nigahon se nigahon ko milakar ye loot lete hain
ye achchi pardadaari hai ye achchi dil nawaazi hai
hasa kar loot lete hain rula kar loot lete hain
'ameer' iss raste se jo nikalte hain wo kehte hain
mahalla hain haseenon ka bekazakhon ki basti hai

bholi soorat hai baatein hain bholi muhn mein kuch hai magar dil mein kuch hai
laakh chehra sahi chaand jaise dil ke kaalon se allah bachaye

dil mein hai khwahish e hoor o jannat aur zaahir mein shauk e ibaadat
bas hamein sheikh ji aap jaise allah waalon se allah bachaye



Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha