na duniya na mansab na zar ke liye

tamanna hai ke ab yunhi basar hon
teri chaukhat pe deewane ka sar ho

na duniya na mansab na zar ke liye
yeh sar wakf hai tere dar ke liye

tumhare dar pe girke phir na uthun
kamaal e na tawaan chaahta hun

mila meri fitrat ko deewanapan
tere husn ne deewana kar ke liye

tumhare tabassum ki ik ik ada
qayaamat hai ehle nazar ke liye

utha dar se chilman ko aye mehve naaz
wo aur the jo gash hue barqe jamaal se
moosa nahi hoon main mujhe taab e nazar bhi hai

utha dar se chilman ko aye mehve naaz
dikha apna nukhlav hamar ke liye

aasmaani hain haunsle dil ke
dikha apna nukhlav hamar ke liye

mujhe bhi tera dar muyassar hua
jagah mil gayi umar bhar ke liye

hamesha hamein dekhna hai tumhein
tumhi ho hamari nazar ke liye

jo tumhe dekh le phir aur kise ko dekhe
ik tamaashayi hai taalib e deedaar nahi

muhabbat mein kya kya 'Naseer' ehle dil
taraste rahe chaaragar ke liye

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha