na to butkade ki talab mujhe

raazdaaron se bach ke chalta hoon
gham gusaaron se bach ke chalta hoon
mujhko dhokha diya sahaaron ne
ab sahaaron se bach ke chalta hoon

shab e gham ki sahar nahi hoti
ho bhi toh mere ghar nahi hoti
zindagi tu hi mukhtasar ho ja
shab e gham mukhtasar nahi hoti

maine masoom bahaaron mein tumhe dekha hai
maine purnoor sitaaron mein tumhe dekha hai
mere mehboob teri pardanasheeni ki kasam maine
ashqon ki qataron mein tumhe dekha hai

but bhin ismein rehte the dil yaar ka bhi kashaana tha
ek taraf qaabe ke jalwe ek taraf butkhaana tha

na to butkade ki talab mujhe na haram ke dar ki talaash hai
kahaan lut gaya hai sukoon e dil ussi raahguzar ki talaash hai

tu haram mein jisko hai dhoondhta mujhe butkade mein wo mil gaya
tujhe kya malaal hai zaahida ye nazar nazar ki talaash hai

mujh sab qabool falak magar gham e dost mujhse talab na kar
isse kaise dil se juda karoon meri umr bhar ki talaash hai

aye tabeeb chchor yun hi mujhe main mareez e ishq hoon la dawa

ishq ki chot ka kuch dil pe asar ho to sahi
dard kam ho ya zyaada kuch ho to sahi

majnu nazar aati hai laila nazar aata hai
wahshat mein har ik naksha ulta nazar aata hai

wadi e najad se phir karj o hawa laati hai
qais ke rone ki ab tak ye sada aati hai

kaabe bhi gaye ham na gaya par buton ka ishq
is rog ki khuda ke ghar bhi dawa nahi

kaafir e ishq hue ham toh sana bhool gaye
naam e but yaad raha naam e khuda bhool gaye

naaz o andaaz se kehte hain ke jeena hoga
zeher dete hain toh kehte hain ke peena hoga
jab main jeeta hoon toh kehte hain ke marta bhi nahi
jab main marta hoon toh kehte hain ke jeena hoga

ishq de mehkame gaya main ik din aggon ishq ne meri badheyayi dhag layi
main gaya si ishq ton daad laine aggon ishq ne meri dunayi thag layi
is ishq ne bade bade thag lai daru badshaah di baadshahi thag layi
tain ki thageya aashiq zaara is ishq ne khuda di khudayi thag layi

aye tabeeb chchor yun hi mujhe main mareez e ishq hoon la dawa
mujhe jis ne dard e ata ki us hi chaaragar ki talaash hai

Comments

  1. Harsimran, one or two correction:

    "Ai tabeeb (healer), chhod yun hi mujhe, main mareez e ishq hoon la dawa
    Mujhe jis ne dard yeh ada kiya, us chaaragar ki talaash hai"

    And at the beginning, I think it's "ghamgusaaron" and not 'busaaron".

    Thanks a ton for the lyrics!

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks for the comment,I've done the corrections.I seriously need people like you, who can help bring the original content forth.Cheers!

      Delete
  2. Pls if someone knows the poet of this masterpiece, kindly let me know. Thanks in advance

    ReplyDelete
  3. Who is the writer of this masterpiece please let us know

    ReplyDelete
  4. Nusrat fateh ali khan ki song hai he had written by himself

    ReplyDelete
  5. Mere dao pe sajda e bandgi ko ada hui hai woh bakhudi' mere khuje dar par pahunch ke bhi mere khunje dar ki talash hai

    ReplyDelete
  6. i think its eritten by ameer sabri in book faizan e sabir

    ReplyDelete
  7. Jahan lut gaya hai sukoon-e-dil
    Usi Rah guzar ki talaash hai

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil