naaz karta hoon kismat pe apni

sajdon ke liye baab e haram dhoondh liya hai
aye yaar tera naksh e kadam dhoondh liya hai
kaabe mein koi sar ko jhukaaye to hamein kya
hamne tera darbaar e karam dhoondh liya hai
kaabe mein jise dhoondhne jaata hai zamaana
butkhaane mein hamne wo sanam dhoondh liya hai

raah mein jab koi dushwaar makaam aata hai
jaane kyun lab pe mere aap ka naam aata hai
yeh tasawwur faqat ek baat pe nahi maukoof
jis se nisbat ho wo har haal mein kaam aata hai

naaz karta hoon kismat pe apni
tere daaman se wabastgi hai

woh aur honge jo ke hain dar pe jhuk rahe
main tera ho gaya hoon mujhe kuch kami nahi mere baba

mana ke bahut zor ka toofan e alam hai
jab tum ho mere saath toh kis baat ka gham hai

na fikar e alam hai na ehsaas e gham hai
raho tum salaamat karam hi karam hai

naaz karta hoon kismat pe apni
tere daaman se wabastgi hai
sar jhuka hai tere dar pe mera
bandagi ab meri bandagi hai

kya karoon daulat e duniya ki tamanna kar ke
mutmayin hun main tere dar pe sajda kar ke

na namaaz aati hai mujhko na wuzu aata hai
sajda kar leta hoon jab saamne tu aata hai

is sang e aastaan pe jabeen ne niyaaz hai
allah kya namaaz hamari namaaz hai

paa liya maine maqsood e hasti
teri nisbat mujhe mil gayi hai
kya garaz mujhko dair o haram se
meri nazron mein teri gali hai

tere dar pe jabeen jab jhukaayi
mere sajdon ne meraaj paayi
main tere dar ke qaabil kahaan tha
teri nazar e karam ho gayi hai

kya se kya kar diya is gada ko
jaan e jaan in ataaon ke sadke
ab tamanna nahi maangne ki
mujhko khairaat itni mili hai

sab kuch khuda se maang liya tumko maang kar
uthte nahi hain haath mere is dua ke baad

bin maange diya aur itna diya
daaman mein hamaare samaaya nahi

jitna diya sarkar ne mujhko
utni meri aukaat nahi

mujhko mere kareem ne kya kya ata kiya
mujhko dar e fareed ka mangta bana diya

ganj e shakar da dar mileya e
gair daware jaayiye kyun
chhad ke ehna sakhi dawara
dar dar dhakke khaayiye kyun

mujhko mere kareem ne kya kya ata kiya
mujhko dar e fareed ka mangta bana diya

khaalik ne aake khwaab mein jalwa dikha diya
farmaaya baar e ishq e fareedi bana diya

kyun kahin jaaun muqaddar aazmaane ke liye
jab fareed ud din hain bidgi banaane ke liye

tere rukh ki talaawat karun main
jehde kaabe nu jaana jaan paye

teri soorat hi meri aankh ka sarmaaya hai
tere chehre se nigaahon ko hataaun kaise

tujhe sochna muhabbat tujhe dekhna ibaadat
yahi meri bandagi hai main karun teri talaawat

tere rukh ki talaawat karun main
har ghadi teri baatein karun main
teri soorat hai quran mera
zikr tera meri bandagi hai

teri soorat se nahi milti kisi ki soorat
ham jahaan mein teri tasveer liye phirte hain

rukh se nakaab utha ke badi der ho gayi
mahaul ko talaawat e quran kiye hue

tu sanam hai ya mera khuda hai
idhar udhar saamne bas tu hi tu hi

jo kuch kahun to tera husn ho gaya mehdood
rahun khamosh agar main to phir bas tu hi tu hi

zahir tu hi toh main niha hoon
baatin tu hai toh main aya hoon
tu hi zaahir tu hi baatin
tu hi tu hai toh main kahan hoon

husn ki ibtida bhi tum
ishq ki inteha bhi tum
arre rehne do raaz khul gaya
bande bhi tum khuda bhi tum

tori har har ada ko main jaan gayi re
mora dil toh gaya mori jaan gayi re
tu jo aaya kamaliya ko odhe hue
roop badle toh kya pehchaan gayi re

tu hi tu hi na duja ko
pargat bhayo muhammad ho

tu sanam hai ya mera khuda hai
raaz ab tak samajh mein na aaya
tu haram mein tu hi butkade mein
har taraf teri jalwagiri hai

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil