naazim hun dil se khauf e qayaamat nikaal do

teri sana ke khuda banda lazayaal hai tu
yahi misaal hai teri ke bemisaal hai tu
tera kamaal hi duniya ke har kamaal mein hai
yeh shaan teri ke har shaan mein kamaal hai tu

behadd ne ajab kaam kiya hadd kar di
gunjaaish e tankeed sabhi radd kar di
khud to parde mein rahe khud ko dikhaane ke liye
phir saamne tasveer e muhammad kar di

muhammad mustafa mukhtaar e kul hain
meri sarkar hi sardar e kul hain
muhammad baadshah e har do aalam
muhammad sayyid e abraar kul hain

ye lutf yeh tumhara karam bemisaal hai
ik ik gunahgaar ka tumko khayaal hai
ho mere haal pe bhi nigah e karam nawaaz
sarkar ik nigah e karam ka sawaal hai

naazim hun dil se khauf e qayaamat nikaal do
saaya gunahgaar pe kamli ka daal do

dil e betaab ko seene se laga le aaja
raah mein chhor gaye thaamne waale aaja
roosiyakaar mere aib khule jaate hain
kamli wale mujhe kamli mein chhupa le aaja

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha