nisaar baba fareed tujh par ajeeb tera makaam hai

dilbare khwaja qutab faiz lutaane waale
mere baba hain gharibon ko nibhaane waale

mere masood piya main teri azmat ke nisar
sar jhukaate hain tere dar pe zamaane waale

meri jholi mein bhi kuchh daal de khairat e karam
chistiya faiz zamaane mein lutaane waale

marhaba teri sakhaawat hai badi ganj e shakar
maangne waalon ko sultan banaane waale

koi mehboob bana aur koi saabir baba
kya se kya bann gaye nisbat teri paane waale

nisaar baba fareed tujh par ajeeb tera makaam hai
zamaana uske kadam ko choome jo tere dar ka ghulam hai

banaye takdeer bekason ki teri nazar ka yeh kaam hai
hamein bhi khairat de karam ki karam tera sab pe aam hai

jo bhi dar pe saayil aata mann ki muraadein sab hai paata
main bhi aapka hoon kehlaata bheekh mujhe de de baba

tumhari nisbat se bekason ko mili hai khwaja ki roshni
tumhare sadke se mere baba kamaal e saabir nizam hai

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha