noor e khuda hai husn saraapa rasool ka

bemisl hai kya shauk tera naayi hai
khaalik bhi fida khalq bhi shaidaayi hai
khaalik ne muhabbat mein niraale rukh se
sarkar ke chehre ki kasam khaayi hai

noor e khuda hai husn saraapa rasool ka
sar se paa tak noor unka sab gharaana noor ka
unki nasl e paak mein hai bachcha bachcha noor ka

dono jahaan ka noor muhammad ke roop mein
allah ka zahoor muhammad ke roop mein

lab noor jabeen noor
dahan noor nazar noor

gesu ki chamak noor
amaame ki damak noor
hai khaak ka ghar khaak
magar noor ka ghar noor

noor e khuda hai husn saraapa rasool ka
khud hi khuda e paak hai shaida rasool ka

allah ne paas bula hi liya
binn dekhe khuda bhi reh na saka

takhleeq karke aapko allah ne kaha
mera habib meri tarah lajawaab hai

yeh aasmaan yeh chaand sitaare unhi se hain
jitne hain dilnasheen nazaare unhi se hain

thison kalaam e paak ke paare unhi se hain
takhleeq e qayanaat hai sadka rasool ka

jab kuch nahi  tha sirf khudaayi ki zaat thi
us din ka tha wajood na maujood raat thi

jeene ka tazkara tha marne ki baat thi
us waqt bhi tha noor mujallah rasool ka

hazrat umar ki dekhiye takdeer yun bani
nikle katl karne ki neeyat se jis ghadi

talwaar chchut ke haathon se kadmon mein gir padi
dekha unhon ne jab rukhe zaiba rasool ka

aati hai jab yeh baat hamaare khayaal mein
milta nahi hai waakya koi misaal mein

kya maujza hua ke teis saal mein
saare jahaan ne padh liya kalma rasool ka

pal bhar mein jaise wo bhi koi maujza hua
hairat se aasmaan usse dekhta raha

saara garoor  qiraaye khaibar ka mit gaya
jab murtaza ko mil gaya jhanda rasool ka

aisi misaal de na sakegi yeh qayanaat
jaan bhi diya na dast yazeedeen mein apna haath

khud bhi hua shaheed bahattar ke saath saath
kitna azeem tha wo nawaasa rasool ka

sardar na daad dast dar dast e yazeed
haq aa ke bina e la ilah hast hussain

Comments

  1. बहुत शुक्रिया

    ReplyDelete
  2. Thanks for the lyrics... Can i have english translation of this master piece please !? Khuda Hafiz

    ReplyDelete
  3. takhreek .... nai janab....... takhleeq hai janab

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha