Phiroon dhoondhta maikda tauba tauba
Kar rahi hai dar haqiqat
Kaam saaki ki nazar
Maikade mein gardish e saagir
Baraye naam hain
Phiroon dhoondhta maikda tauba tauba
Mujhe aajkal itni phursat nahi hai
Salamat rahe teri ankhon ki masti
Mujhe maikashi ki zaroorat nahi hai
Pila nahi Jo gurezan hai Chand paimane
Nigah e yaar salamat to hazar maikhane
Kharakte jaam ka mohtaj main nahi saaki
Teri nigah salamat mujhe kami kya hai
Aankhen saaki ki salamat mere dushman tarsen
Dohre maikhane hai meri niyat bharne ke liye
Suroor cheez ki miqdar par nahi maukuf
Sharab kam hai to saaki nazar mila ke pila
Jaam par jaam peene se kya faayda
Raat guzri to saari utar jayegi
Teri nazaron se pi hai khuda ki kasam
Umr saari nashe mein guzar jayegi
Dil uska namazi ban jaye
Ankh uski gulabi ho jaye
Tu jise muhabbat se Dekh le
Saaki wo sharabi ho jaye
Ye tark e ta-alluk ka kya tazkira hai
Tumhare siva koi apna nahi ha
Agar tum kaho to main Khud ko bhula doon
Tumhein bhool jaane ki taakat nahi hai
Roz kehta hoon bhool jaoon tumhein
Roz ye baat bhool jaata hoon
Ik baar aql ne tumhein chaaha tha bhulana
Sau baar junoon ne teri tasvir dekha di
Tujhko bhoolun koshish karke dekhunga
Warna dariya ulta behna mushqil hai
Har ik mod par ik nayi maat khayi
Rahi dil ki dil mein zuban tak na aayi
Kiye hain kuch aise karam doston ne
Ki ab dushmanon ki zaroorat nahi hai
Aql ko rog maar dete hain
Ishq ko sog maar dete hain
Aadmi khud b Khud nahi Marta
Doosre log maar dete hain
Hamesha mere saamne se guzarna
Nigahen churakar mujhe Dekh lena
Meri jaan tum mujhko itna bata do
Ye kya cheez hai gar mohabbat nahi hai
Hazaron tamannayein hoti hain dil mein
Hamari to bas ik tamanna yahi hai
Mujhe ek dafa apna kehke pukaaro
Iske siva koi hasrat nahi hai
excelent, nusrat sahab kya baat hai.
ReplyDeleteSomeone please translate this to english..i have been trying..but could nt make it meet both ends
ReplyDeleteYar ye qwali kis ne likhi hai
ReplyDeletePurnam Allah abadi
Deleteadi
Yar ye qwali kis ne likhi hai
ReplyDeletePurnam Allah abadi
ReplyDelete