tasawwur mein kisi ko jalwa farma kar liya maine

tasawwur mein kisi ko jalwa farma kar liya maine
padi taareekh raaton mein ujaala kar liya maine

jhukakar apni gardan farz pura kar liya maine
raza e yaar ka sar deke sauda kar liya maine

muhabbat aag hoti hai magar ehsaas ki hadd tak
jalaaya iss kadar dil ko ki thanda kar liya maine

wafa par tab sara bhi ho gaya ankhon hi ankhon mein
bhari mehfil mein unse dil ka sauda kar liya maine

mere kufr e muhabbat par na kar tanqeed e waiz
koi toh baat dekhi thi jo sajda kar liya maine

aaj deewane ne apne haq mein achcha kar liya
yaar ke nakshe kadam pe aaj sajda kar liya

kyun kar jaawan kaabe nu
mera sajda yaar pyare nu

jinka mazhab ho faqat yaad e sanam deed e sanam
woh nahi jaante kaafi yeh musalmaan hona

jabeen e shauk jab ek baar peshe aastan rakh di
qayamat tak nahi uthi jahan rakh di wahan rakh di

sajda karna karam e yaar pe qurbaan hona
yun likha hai meri qismat mein musalmaan hona
jinka mazhab ho faqat yaad e sanam deed e sanam
woh nahi jaante kaafi yeh musalmaan hona

ham kaabe mein jo jaate toh bhala kis liye jaate
kaaba teri galiyon mein jhuka dekh liya hai

apni nazar mein kuch nahi jannat ki haqeeqat
hamne tera darbar shah dekh liya hai

nahi maloom kiske aasre pe dam nikal jaata
yahi achcha hua tujhpe bharosa kar liya maine

meri umare do roza ne ik duniya bana daali
zara si der ke wakfe mein kya kya kar liya maine

teri mehfil se saaki tere mastaane kahaan jaate
jo chchalke teri ankhon se wo paimaane kahaan jaate

ye tujhse aashna duniya se beegane kahan jaate
tere kooche se uth  ke bhi toh deewane kahan jaate

main apne aansuon ko kaise daaman mein chchupa leta
jo palkon tak chale aaye wo afsaane kahan jaate

lagi dil ki bujhaane ke liye jalna hi padhta hai
nahi toh shama ke nazdeek parwaane kahan jaate

na chchora zafd ne daaman nahi toh tere saudayi
hujoom e gham se ghabrakar khuda jaane kahan jaate

tumhare naam se mansoob ho jaate hain deewane
ye apne hosh mein hote toh pehchaane kahan jaate

agar koi hareefe naaz ke parde utha deta
to phir kaaba kahan rehta sanamkhaane kahan jaate

nahi tha mustahit makhbool rindon ke siwa koi
na hote ham toh phir labrez paimaane kahan jaate


Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha