tere dar pe main aaya hoon sultan

raah mein jab koi dushwaar makaam aata hai
jaane kyun lab pe mere aapka naam aata hai
yeh tasarruf faqat ek baat par nahi hoti
jisse nisbat ho wo har haal mein kaam aata hai

na haram ki justju hai na khayal e butkada hai
teri bandaparwari ne mujhe kya bana diya hai

main yahin karunga sajde yahi mera mudda hai
jo mila nahi haram se tere dar se wo mila hai

tere dar pe main aaya hoon sultan
mera tujh bin sahaara nahin hai

tere deedar e rukh ke ilaawa
meri dil mein tamanna nahi hai

ab kahan jaaun aye dar e sultan
tera dar chchor kar kisse mangun

tere tukdon se palta raha hoon
koi dar aur dekha nahi hai

maine dekhe haseenon mein aalam
koi tujhsa anokha nahi hai

jabse dekhi hai soorat tumhari
koi nazron mein jachta nahi hai

ye bhi mazhar hain shan e nabi ke
hai baharein madina yahan bhi

dekh le mere sultan ka auda
jisne taiba ko dekha nahi hai

aaj bhar de inaayat se daaman
de de shah e madina ka sadka

pher na dar se sahil ko khali
yeh kareemon ka shewa nahi hai

begaraz sabki bharte hain jholi
yeh hain shahon gadaon ke sultan

jisko jo chaahein jab chaahein de dein
yeh inaayat hai sauda nahi hai

mere sultan ka wo aastaan hai
bat raha hai muhammad ka sadka

pehle daaman bichchaana to seekho
kaun kehta hai milta nahi hai

waaiza kuch to khauf e khuda kar
bhesh kar deeda e aql wa kar

shah e sultan pe sar ko jhukaana
yeh muhabbat hai sajda nahi hai

jo bhi lena ho leta hoon in se
bann ke sag aye 'Naseer' inke dar ka

mangne gair ke dar ko jaana
aaj tak maine seekha nahi hai

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil