tere darwaaze pe chilman nahi dekhi jaati

yeh kajravi na meri jaan ikhteyaar karo
jo tumse pyar kare tum bhi usse pyar karo

kaha jo maine dil beqaraar hai mera
toh has ke kehne lage aur beqaraar karo

dikhao jaam na bharkar main badakhuar nahi
meri nazar ko nazar se gunahgaar karo

mehak uthegi jawaani gulaab ki soorat
haseen baahon ko mere gale ka haar karo

mujhko tasleem main sharaabi hoon
phir bhi fitrat ajeeb paayi hai
main nazar se sharaab peeta hoon
meri rindi bhi paarsaayi hai

fikr e soodo ziyaan to chhutegi
minnatein een o aan to chhutegi
khair do zakh mein mai mile na mile
sheikh sahib se jaan to chhutegi

shikan na daal jabeen par sharaab dete hue
yeh muskurati hui cheez muskura ke pila
suroor cheez ke miqdaar par nahi maukoof
sharaab kam hai toh saai nazar mila ke pila

kuch murakke hain zindagani ke
chand unwaan hain kahaani ke
chandni zulf raqs sher sharaab
mukhtalif naam hain jawaani ke

sharaab e shauk ko masti mein laake pita hoon
main masira ki nazar se chhupa ke pita hoon
rakoon se jo baje sajde mein jaake pita hoon
wo rind hoon jo khuda ko bhi kha ke pita hoon

tere darwaaze pe chilman nahi dekhi jaati
jaan e jaan hamse yeh uljhan nahi dekhi jaati

rukh pe yeh zulf ki uljhan nahi dekhi jaati
phool ki god mein naagin nahi dekhi jaati

behijabana milo hamse yeh parda kaisa
band doli mein suhaagan nahi dekhi jaati

jaam mein ho toh nazar aaye gulabi joda
hamse botal mein yeh dulhan nahi dekhi jaati

ghar banayein kisi sehra mein muhabbat ke liye
shehar waalon se yeh jogan nahi dekhi jaati

ham nazar baaz hain dikhla hamein tegi ka jamaal
moorti hamse barahman nahi dekhi jaati

aye 'Fana' kehde hawa se ke uda le jaayein
hamse yeh khaak e nasheman nahi dekhi jaati

Comments

  1. Meaning of CHALIMAN ???.
    Meaning of TERAY DARWAZAY PAI CHALIMAN NAHEE DEKHI JAAATI ???.
    Koi tou is lafz aur is line ka matlab bata dai .

    ReplyDelete
    Replies
    1. "Chilman" means parda,curtain in this context.
      "Tere darwaaze pe chilman nahi dekhi jaati" implies that I can not bear the curtain that separates me from you.

      Delete
  2. Replies
    1. "Kajravi" means aberration/change as per context.

      Delete
    2. Not change..it's to deviate .. bhatakna

      Delete
    3. Kajravi.. mean mathay pr bal lana muuh teda karna smajh len

      Delete
  3. I appreciate your Work ...!!! Thumbs Up

    ReplyDelete
  4. ham nazar baaz hain dikhla hamein tegi ka jamaal

    Its DEVI not TEGI..!!!

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks for pointing that out.

      Delete
    2. But tell meaning of this line

      Delete
    3. This line can be interpreted as, "I want to have a glimpse of you, show me your splendor".

      Delete
  5. Replies
    1. "FANA BULAND SHAH" He Also wrote "Mere Rakshe Qamar"

      Delete
    2. It's Fana Bulandshahri (from Bulandshahr in Uttar Pradesh)

      Delete
  6. Mai is kalaam ke likhne waly ka Nam Janna chahta hon Kai koi help karega

    ReplyDelete
  7. Fnaa
    From Aroop Gujranwala Pakistan

    ReplyDelete
  8. rindi, parsaai, soodo zyan, minnatein een o aan, murakke need meaning of these words.

    ReplyDelete
    Replies
    1. rindi: habit of drinking
      parsaai : purity
      soodo zyan: profit and loss
      minnatein : plead

      Delete
  9. What do we mean by badakhaur

    ReplyDelete
  10. Masira ki najar se bacha k pita hu. Iska matlab koi batao plz.

    ReplyDelete
    Replies
    1. sahi line hai "main nazar se sharaab peeta hoon"

      Delete
  11. Meri rindi bhi paarsaayi hai

    Iska mtlb kya hai

    Plzzzz koi bataye

    ReplyDelete
  12. Khaak E Nasheman
    Ka meaning kya h?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ghar ki matti-khaak means dust, nasheman means ghar/home/nest

      Delete
  13. Ant hain ye lines aur Ustad Nusrat ki adaegi me tu kamal hain

    ReplyDelete
  14. Bahut bahut Shukriya. Lyrics ke liye.

    ReplyDelete
  15. I need to understand this properly but I can't

    ReplyDelete
  16. "jaam mein ho toh nazar aaye gulabi joda"

    What is the meaning of this line in this context?

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil