Teri kafir nigahon se wakif hoon main
Koi bhi waqt ho has kar guzar leta hoon
Khiza ke daur me ehde bahar leta hoon
Gulon se rang sitaron se roshni lekar
Jamaal e yaar ka naksha utaar leta hoon
Saari duniya ke hasin ek taraf
Aap ka rooh e mubeen ek taraf
Gulshan e khuld e bareen ek taraf
Mere kooche ki zameen ek taraf
Ye Jo deewane se do char nazar aate hain
Inme kuch sahib e asraar nazar aate hain
Teri mehfil ka bharam rakhte hain so jaate hain
Warna ye log to bezaar nazar aate hain
Mere daman mein to kanton ke siwa kuch bhi nahi
Aap phoolon ke kharid dar nazar aate hain
Hashar mein kaun gawahi meri dega saagir
Sab tumhare hi tarafdar nazar aate hain
Uske nazdeek gham e tark e wafa kuch bhi nahi
Mutmayin aise hai wo jaise hua kuch bhi nahi
Ab to hathon se lakiren bhi miti jaati hain
Tujhko khokar to mere pass raha kuch bhi nahi
Kal bicharna hai to Phir ehde wafa Soch ke bandh
Abhi to aagaz e muhabbat hai gaya kuch bhi nahi
Main to iss waaste chup hoon ki tamasha na bane
Tu samajhta hai mujhe tujhse gila kuch bhi nahi
Kisne duniya mein mai nahi chakhi
Kaun jhoothi kasam uthata hai
Maikde se jo bach nikalta hai
Teri ankhon mein doob jata hai
Teri kafir nigahon se wakif hoon main
Jis taraf uth gayi hai aahein hain
Chashme baddoor kya nigahein hain
Ye dil fareb ye mastana chal theek nahi
Tumhe khabar bhi hai duniya ka haal theek nahi
Jidhar uthai nazar katl e aam tune kiya
Kaza ka naam hua Aur kaam tune kiya
Teri har nigah mein masti
Teri har ada mein shokhi
Jo ada se bach ke nikla
Use nigah se mara tune
Naqab e chashme musalsal uthai jaati hai
main pee chuka hun mujhe phir pilayi jaati hai
Tum apni mast nigahon ko kuch nahi kehte
Hamein sharab ki tohmat lagayi jaati hai
Teri kafir nighahon se wakif hoon main
Ab tabiyat ko aaraam aa jayega
Dil to pehle hi kaam aa chuka hai mera
Aaj hi naam bhi kaam aa jaayega
Aaj taron mein bhi rang hai noor hai
Aaj saari faza kitni makhmoor hai
Jaise meri tarah sabko ummeed hai
Aane wala sar e shaam aa jayega
Unke dil se nikal kar bhi ae humnasheen
Ek gehra nishaan chchod aaya hoon main
Jab chchide gi kahin dastaan e wafa
Unke lab pe mera naam aa jayega
Saaqiya gham ka izhar achcha nahi
Dekh saawan mein inkaar achcha hai
tauba ka iraada badla hai
barsat ki neeyat theek nahi
Ae zahida tu sharab pi le
Na kar tu kuch ijtanab pi le
Main manun teri namaaz padh loon
tu meri maan ab sharab pi le
Cham cham karke sawan aaya
Mee ke dar se bhaagi tauba
Saaqiya gham ka izhar achcha nahi
Dekh saawan mein inkaar achcha hai
Main ghataon mein tauba to kar lun magar
Teri ankhon pe ilzam aa jayega
Har kisi ko nawaazo na deedaar se
Har koi kaabil e husn hota nahin
Ja baja yun na bijli girayo karo
Warna jalwon pe ilzam aa jayega
Main sharabi hoon 'Anwar' sharabi sahi
Deen o imaan mera gulabi sahi
Uski rehmat ko us waqt manunga main
Haath mein jab mere jaam aa jayega
thanks for the lyrics. good work.
ReplyDeletefew wrong lyrics, it is "mein pee chuka hoon mujhe phir pilayi jati hai, not "Nabi ki aahon mujhe phir pilayi jaati hai
ReplyDeletesecond, it is "hame sharab ki tohmat lagai jati hai" not "hamesha rab ki tohmat lagai jati hai"
Thanks for pointing that out.
Deletepoet name please
ReplyDeleteanwar masood?
ReplyDeleteSeveral mistakes which I have corrected
ReplyDeleteTeri kafir nighahon se wakif hoon main Ab tabiyat ko aaraam aa jayega
Dil to pehle hi kaam aa chuka hai mera Aaj hi naam bhi kam aa jayega
Aaj taron mein bhi rang hai noor hai Aaj sari faza Kitni makhmoor hai
Jaise meri tarah sabko ummeed hai Aane wala Sar e shaam aa jayega
Unke dil se nikal kar bhi ae humnasheen Ek gehra nishaan chod aaya hoon main
Jab chhide gi kahin dastaan e wafa Unke lab pe mera naam aa jayega
Saqia Gam ka Izhar acha nahi daikh sawan main inkar acha nahi
main ghataon main toba to kar loon magar teri ankhoon pe ilzaam aa jaega
Har kisi ko nawazo na deedaar se Har koi kaabil e husn hota nahin
Ja baja yun na bijli girayo karo Warna jalwon pe ilzam aa jayega
Main sharabi hoon 'Anwar' sharabi sahi Deen o imaan mera gulabi sahi
Uski rehmat ko us waqt manunga main Haath mein jab mere jaam aa jayega
Thanks for pointing so many errors!
DeleteAaj imaan bhi kaam aa jayega....
ReplyDelete