ab ke tajdeed e wafa ka nahi imkaan jaana

udaasiyan jo na laate to aur kya karte
chashme shola manaate toh aur kya karte
andhera mangne aaya tha roshni ki bheekh
ham aona ghar na jalaate toh aur kya karte

ab ke tajdeed e wafa ka nahi imkaan jaana
yaad kya tujhko dilayein tera paimaan jaana

yun hi mausam ki ada dekh ke yaad aata hai
kis kadar jald badal jaate hain insaan jaana

zindagi teri ata thi so tere naam ki hai
hamne jaise bhi basar ki tera ehsaan jaana

dil yeh kehta hai ke shayad ho afsurda tu bhi
dil ki kya baat karein dil toh hai nadaan jaana

awwal awwal ki muhabbat ke nashe yaad toh kar
be-piye bhi tera chehra tha gulistaan jaana

muddaton se yahi aalam raha tawakko na hui
dil pukaare hi chala jaata hai jaana jaana

ab tera zikr hi shayad hi ghazal mein aaye
aur the aur hue dard ke unwaan jaana

Comments

  1. Some rectifications

    1- "Yaaad kaya tujkho dilaein* tera paimaan janaa"

    2- *bey/bin piye bhi tera chehra tha gulsitan janaaa

    Poetry by Ahmed faraz

    ReplyDelete
  2. One of the most beautiful ghazal ...

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil