ulfat ka nishaan dil se mitaaya nahi jaata

tulu e subah tere rukh ki baat hone lagi
tumhari zulf jo bikhri toh raat hone lagi
tumhari mast nazar ka khumaar kya kehna
nashe mein garq sabhi kayanaat hone lagi

sar jispe na jhuk jaaye use dar nahi kehte
har dar pe jo jhuk jaaye use sar nahi kehte
kya tujhko jahaan waale sitamgar nahi kehte
kehte toh hain lekin tere muh par nahi kehte

kaabe mein har ik sajde ko kehte hain ibaadat
maikhaane mein har ik jaam ko saagar nahi kehte
kaabe mein musalmaan ko bhi keh dete hain kaafir
maikhaane mein kaafir ko bhi kaafir nahi kehte

achhi soorat ko sanwarne ki zaroorat ka kya hai
saadgi mein bhi kayaamat ki ada hoti hai
tum jo aate ho masjid mein ada karne namaaz
tumko maaloom hai kitno ki kaza hoti hai

ulfat ka nishaan dil se mitaaya nahi jaata
us bhoolne waale ko bhulaaya nahi jaata

sar gair ki chaukhat pe jhukaaya nahi jaata
mujh se toh khuda aur banaaya nahi jaata

ab umr judaayi mein tadap ke hi kategi
roothe hain wo aise ki manaaya nahi jaata

yeh kaisi muhabbat hai phase margh bhi tumse
ik phool bhi qurbat pe chadhaaya nahi jaata

ham par hi lagaate ho sada ishq ki tohmat
ilzaam raqeebon pe lagaaya nahi jaata

yeh souz e muhabbat hai na to ashq ke chheetein
is aag ko paani se bujhaaya nahi jaata

le jaayein kahan zakhm e judaayi ko fana hum
yeh phool kisi dar pe sajaaya nahi jaata

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha