unke dar pe pahunchne to paayein

khizan ke daur mein ehde bahar leta hoon
gham e hayat ko has ke guzaar leta hoon
gulon se rang sitaaron se roshni lekar
jamaal e yaar ka naksha utaar leta hoon

ye jo deewane se do chaar nazar aate hain
inmein kuch saahib e asraar nazar aate hain
teri mehfil ka bharam rakhte hain so jaate hain
warna yeh log toh bedaar nazar aate hain

mere daaman mein toh kaanton ke siwa kuch bhi nahin
aap phoolon ke khareeddaar nazar aate hain
hashar mein kaun gawahi meri dega saagir
sab tumhare hi tarafdaar nazar aate hain

uske nazdeek gham e tarq e wafa kuch bhi nahi
mutmayin aise hai wo jaise hua kuch bhi nahi
ab toh haathon se bhi lakeerein miti jaati hain
usko khokar toh mere pass raha kuch bhi nahi

kal bichadna hai toh phir ehde wafa soch ke baandh
abhi aagaz e muhabbat hai gaya kuch bhi nahi
main toh iss waaste chup hun ke tamasha na bane
tu samjhta hai muijhe tujhse gila kuch bhi nahi
aye shumaar ankhein iss tarah bichchaye rakhna
jaane kis waqt wo aa jaaye pata kuch bhi nahi

unke dar pe pahunchne to paayein
yeh na poocho ke ham kya karenge
sar jhukaana agar jurm hoga
ham nigahon se sajda karenge

yeh sar sar e zaahid nahi
deewane ka sar hai

chaahe koi kaafir kahe
chaahe koi momin
sajda karenge hum toh

jab tak jamaal e yaar
dekhaaya na jaayega
dar se sarre niyaz
uthaaya na jaayega

meri deewangi par
hosh waale behas karte hain

sajda karna yaar pe qurban hona
yun likha hai meri kismat mein musalman hona
jinka mazhab ho faqat yaad e sanam deed e sanam
wo nahi jaante kafir ya musalman hona

yun bazm e zindagi mein ujaala karenge hum
unke bitha ke saamne sajda karenge hum

gair ko dekha na gairon ki nazar dekhi hai
meri nazaron ne faqat teri nazar dekhi hai

main bhi wo kufr karun kufr bhi wo kufr e aadam
teri soorat ke siwa koi agar dekhi hai

mere kufr e muhabbat par
na kar tanqeed aye waaiz

meri deewangi par hosh waale behas karte hain
magar pehle unkko deewana banne ki zaroorat hai

hamatan fitrat e tasleem o raza ho jaana
mere mazhab mein hai bande ka khuda ho jaana

jafa taraz wafa aashna bhi hote hain
dubone wale bhawar nakhuda bhi hote hain

hamari husn parasti pe aitraaz na kar
sanam parast khuda aashna bhi hote hain

chadha do daar pe mujhko agar galat hun main
mera yakeen hai bande khuda bhi hote hain

baat bhi teri rakhni hai saaki
zarf ko bhi na ruswa karenge
jaam de ya na de aaj hum toh
maikade mein sawera karenge

iss taraf apna daaman jalega
us taraf unki mehfil chalegi
hum andhere ko ghar mein bulaakar
unke ghar mein ujaala karenge

humko jhoothi tasalli na deeje
gham mein ab aur izaafa na keeje
jisse ankhon mein aa jayein aansu
wo khushi leke hum kya karenge

baat tarqe ta-alluk bhi 'Anwar'
itna ehsaas e rasm e wafa hai
aakhiri saans tak bhi hum unse
berukhi ka na shikwa karenge

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil