waris e ganj e shakar zeeshan sabir kaliyari

ho jaaye hajj e akbari makhdoom sabir kaliyari
ghaus ul bara ki aal ho ganje e shakr ke laal ho
tum ho nishan e haidari makhdoom sabir kaliyari
ganj e shakar ke waasta maston ko kar dije ata
saabir sharab e saabiri makhdoom sabir kaliyari

waris e ganj e shakar zeeshan sabir kaliyari
saare hi waliyon ke hain sultan sabir kaliyari

tum ho zohad ul ambiya ki jaan sabir kaliyari
hai tumhari shaan bhi kya shaan sabir kaliyari

dono pyare kyun na hon baba fareed ud din ke
dil nizam ud din aur jaan sabir kaliyari

aashiqon ka deen hain aap is mein koi shak nahi
aashiqon k aap hain imaan sabir kaliyari

maal o zar ka zikr kya hai maal o zar kya cheez hai
tum pe mera ghar ka ghar qurban sabir kaliyari

bas gaya hai dil mein jab se mushafe rukh aapka
bann gaya hai mera dil quran sabir kaliyari

dono aalam ki hai daulat aapke darbar mein
aap hain aise sakhi dhanwaan sabir kaliyari

ghamzada hun lo khabar lakht e dil e ganj e shakar
ho karam ki ik nazar sultan sabir kaliyari

teri ik nigah ki baat hai
meri zindagi ka sawal hai

paak pattan ke shahenshah ke ho dilbar sabir
sun lo fariyaad meri aulliya kaliyar sabir

tumhein main waasta ganj e shakr ka deta hun
ho karam ki ik nazar sabir

sadka e ganj e shakar sun lo duhayi meri
ho karam ki ik nazar sabir

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil