binti suno mori karun main parnam

dar e fareed pe khairaat paane aaye hain
ham apna bigda mukaddar banaane aaye hain
jabeen e shauk ke sajde lutaane aaye hain
niyaazmand tere sar jhukaane aaye hain

gham e jahaan ke fasaane sunaane aaye hain
tumhaare faiz ki khairaat paane aaye hain
muhabbaton ke baraste hain aankh se moti
aqeedaton ke khazaane lutaane aaye hain

idhar bhi chashme inaayat hi mere ganj e shakar
ghareeb apna mukaddar banaane aaye hain
is aastaan ki bulandi ka haal kya kahiye
ke sar buland jahaan sar jhukaane aaye hain

sayiyaan nagar ki poochhat mohe kaun tiharo var hai
laaj ki maari keh na sakun main var mora ganj e shakar hai

binti suno mori karun main parnam
laaj raakho baba banaado more kaam

karam karo baba bhaag jagaao
mujh dukhiyan ko janam lagaawo

akal se tore sang pal tan hua hai
main jogan hoon teri tu mora piya hai

ek nazar ki baat hai baba
laaj tumhare haath hai baba
main joganiya tihari kehlaati hun
llaaj tihare haath hai baba
kitni pyari raat hai baba
teri saji baaraat hai baba

waasta tumko baba saabir ke naam ka
baba fareed de de sadka nizaam ka

lutf o karam hai tera sake liye aam
laaj raakho baba banaado more kaam

mangta hoon tera baba mushkil ko taal de
khairaat baba meri jholi mein daal de

main bhi tere dar ka hoon adna ghulaam
laaj raakho baba banaado more kaam

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha