wo hata rahe hain parda sarre baam chupke chupke

wo hata rahe hain parda sarre baam chupke chupke
main nazaara kar raha hoon sarre shaam chupke chupke

ye jhuki jhuki nigahein ye haseen haseen ishaare
mujhe de rahe hain shayad wo payaam chupke chupke

na dikhao chalte chalte yun kadam kadam pe shokhi
koi qatl ho raha hai sarre aam chupke chupke

kabhi shokhiyan dikhaana kabhi unka muskuraana
ye adaayein kar na daalein mera kaam chupke chupke

ye adaayein beniyazi tujhe bewafa mubarik
magar aisi berukhi kya ke salaam tak na pahunche

zara hoshiyar ae dil kahin dhaa na de qayaamat
us ada e kafiri ka de salaam chupke chupke

tere maikade mein saaki mera raaz khul na jaaye
wo ata rahe nawaazish mujhe jaam chupke chupke

ye jo hichkiyan musalsal mujhe aa rahin hain 'Aaalam'
koi le raha hai shayad mera naam chupke chupke

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil