ye samajh ke mere baba tere dar pe sar jhuka hai

paikar e noor ke tanveer ke sadke jaaun
apne khwaabon ke tabeer ke sadke jaaun

aashikaara hai tere husn ke haq ki soorat
mere aaqa teri tasveer ke sadke jaaun

dar e fareed se khairaat paane aaye hain
ham apna bigda mukaddar banaane aaye hain

ye samajh ke mere baba tere dar pe sar jhuka hai
tu khuda nahi hai lekin tere bhes mein khuda hai

jhuka ke sar tere aastaan pe
mujhe har ik mudda mila hai
teri gali chhor dun main kaise
teri gali mein khuda mila hai

tu wali e kibriya hai tu habeeb e mustafa hai
tu hai fatima ka pyara tu ali ka laadla hai

bina shak hai teri nawaazish hai nawaazish e muhammad
bada khushnaseeb hai woh jise tu nawaazta hai

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha