yeh tere ghulaamon ke waaste badi baat baba fareed hai

shohra jahaan mein aam hai baba fareed ka
har lab pe aaj naam hai baba fareed ka
bigde hue naseeb sawar jayenge abhi
bigdi banaana kaam hai baba fareed ka
sabir ko ik nigah mein sabir bana diya
kitna bada makaam hai baba fareed ka

inki yaadon ka hai yeh faiz barabar dekho
main fakeeri mein bhi hoon kitna tawangar dekho
besabab paal rahe hain mere baba mujhko
dekhne waalon zara mera mukaddar dekho

dar e fareed pe khairaat paane aaye hain
ham apna bigda mukaddar banaane aaye hain

yeh tere ghulaamon ke waaste badi baat baba fareed hai
tere dar ki kar li ziyaarat yahi gham ke maaron ki eid hai

ilahi taab abad aastaan e yaar rahe
yeh aastaan hai ghareebon ka aabaad rahe

tu jamaal e khwaja e khaajgaan tu kareem baba fareed hai
tere dar se bharti hain jholiyan tere dar pe mangton ki eid hai

jo bhi dar pe saayil aata mann ki muraadein sab hai paata
main bhi aap ka hun kehlaata bheekh mujhe bhi de de baba

jise inke dar se sanad mili bakhuda usi ki hai bandagi
usse haq bhi kehta hai jannati jo ghulam e baba fareed hai

rehmat ki yeh khuda ki taraf se naveed hai
woh jannati hai jo ke ghulam e fareed hai

teri deed sabka hai muddaa teri deed hi se sukoon mila
teri deed kyun na karein gada teri deed khwaja ki deed hai

jo dar e fareed pe aa gaya usse jannati ka laqab mila
yeh dar e kareem ki baat hai yeh kamaal e ishq e fareed hai

main dar e fareed pe aa gaya mujhe ab kisi ki talab nahi
yeh badi khushi ka payaam hai yeh bade karam ki  naveed hai

main jo soo e ganj e shakar gaya wahin mujhpe raaz e karam khula
jo fana hai baba ke ishq mein wo shaheed wo shaheed hai

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil